Monday, August 1, 2011

Welcome To Kawish Friend Corner

7 comments:

  1. Aansoo mein nay rok liye hain
    Kawaab gharoda tor diya hain

    Khat bhi saray phar diye hain
    Dil ko mein nay bandh liya hai

    Band ye saray khol na jana
    Tum mujhe ab yaad na aana

    Sheeish mahal ka ysunder sapnay
    Tumne chakna choor kiye hain

    Terey naam pe behtey aansoo
    Khamoshi sey zabt kiye hain

    Zabt key bandhan tor na jana
    Tum mujhay ab yaad na aana

    Ek ek kar kay saaray panchi
    Apney gharon ko chaley gaye hain

    Prem nagar key woo darwazey
    Maine thak key band kiye hain

    Dar yeh saray khol na jana
    Tum mujhay ab yaad na aana

    ReplyDelete
  2. Aj us ki yaad na hamain tarpaya buht
    Aj na chahtay huay bhi wo yaad aae buht
    Us k baad to jaisay weshatoon s doosti ho gaye
    Phir kyun tanhayion ny aaj daraya buht
    W0 meri the Meri hai Meri rahayge
    Yah soch k dil ko behlaya buht
    Shama k jalnay pay afsoos karain kyun
    Hum ny jis kisi ko bhi hamdard samjha
    wo najanay kyun hamary dard pay muskuraya buht.

    ReplyDelete
  3. Ansoo her khushi or ghum mein insaan ka saath detein hein,
    Ansoo? bahane se dil ka boejh halka hota hai,
    Ansoo? khushi ke moqe per bhi nikle ate hein or khshi ka izhaar karte hein,
    Ansoo? dost bichRne per ankhoun se moteoun ki tarah behne lagte hein,
    Ansoo? se pyar karo kiun ke yeh bin mange mil jate hein
    dard kitne hain bata nahi sakta zakhm kitne hain dikha nhai sakta ankhon se samjh sako to samjh lo ansoon gire hain kitne gina nahi sakta

    ReplyDelete
  4. Aasaan nahi dard-e-dil ko manana,
    Pareshaan yoon hi kisi ko na karna,
    Tanha na rehati yeh raatein humari,
    Jab us anjaane ki tasveer bandh
    NIGGAHON mein hai raheti.

    Bandh NIGGAHON ki dehleez par aansoon ki dariya behati hai,
    Jab haalate dil jubaan par bayaan ho jaati hai,
    NIGGAHON mein udaasi ki diye jal uththi hai,
    Nainoon ke sagar me hum khud bhi doob jaate hai,

    Diya hi kya hai bechaini o beqarari ki siwa hum,
    Kaise kahoon is NIGGAHON ki gulshan-e-bahar ke haqdaar ho tum,
    Kaise kahoon mere haathon ki lakiroon mein bas tera hi naam hai.

    Kaise bayaan karoon meri NIGGAHON me tere hi suroor chaya hai,
    Kaise kahoon yeh surma-e-singgaar adhura rahega jab tak na milein
    hamari nazaroon se nazar,
    Kaise kahoon yeh haqeekat to hum ne apni hi NIGGAHON ke andaaz se
    banayi hai.

    ReplyDelete
  5. Kabhi to ki hogi suraj ne chand say mohabbat
    Tabhi to chand mein daagh hay,

    Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai
    Tabhi to suraj mein aag hay.

    ReplyDelete
  6. thanx pari g and you to very nice :)

    ReplyDelete