For Some 1


Mere Lafzon Ko Agr Wo Pehchan Jata Faraz
To Usy Mujh Sy Nahi Khud Hi Sy Mohabat Ho Jati.
------------------------------------------------------------
Bheek Main Mili Khushiyan Mujhy Achi Nahi Lagti Faraz
Main Apny Dukhon Main Rehta Hoon Nawabon Ki Tarha,
-------------------------------------------------------------

Mujhy Ye Zam Hy Main Hussn Ka Musavir Hoon
Unhy Ye Naz Hy K Tasveer To Hamaari Hy,

--------------------------------------------------

Mohabat Jeet Hoti Hy Magar Ye Haar Jati Hy
Kabhi Dil Soz Lamhon Sy Kabhi By Kar Rasmon Sy
Kabhi Takdeer Wlon Wy Kabhi Majbor Qasmon Sy
Magar Ye Haar Jati Hy
Kabhi Ye Phool Jaisi Hy Kabhi Ye Dhool Jaisi Hy
Kabhi Ye Chaand Jaisi Hy Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hy
Kabhi Masroor Karti Hy Kabhi Ye Rog Deti Hy
Kabhi Ly Paar Jati Hy Kabhi Ye Mar Jati Hy
Mohabat Jeet Hoti Hy Magar Ye Haar Jati Hy,

--------------------------------------------------------

janaza thaam kr mera wo kuch is andaz sy boly
gali hum ny kahi thi tum to duniya hi chor chaly,

-------------------------------------------------------------

bara kathin hy rasta jo aa sako to sath do
ye zindagi ka fasla mita sako to sath do
bohat faraib khao gybra sitam uthao gy
ye umar bhar ka saath hy nibha sako to saath do
jo tum kaho to ye dil to kia jaan bhi fida karoon
jab main kahoon to bas ik nazar luta sako to saath do
hazaar imtehan yahaan hazaar aazmaishain hazar dukh hazar ghum
utha sako to szzth do
ye zindagi yahan khoshi ghamon ka saath hy
hansa sako to saath do rula sako to bhi saath do.

---------------------------------------------------------

main ny kaha wo ajnabi hy
dil ny kaha ye dil ki lagi hy
main ny kaha wo sapna hy
dil ny kaha phir bhi apna hy
main ny kaha wo do pal ki mulakat hy
dil ny kaha wo sadiyon ka saath hy
main ny kaha wo mairi haar hy
dil ny kaha yahi to ryar hy

---------------------------------------------------------------------

inhi khush gumaniyon main kaheen jaan sy bhi na jao
wo jo chara gr nahi hy usy zakham kiyon dikhao
ye udasiyon k mosam unhi raygan na jain
kisi yaad ko pukaro kisi dard ko jagao
wo kahaniyan adhoori jo na ho sakain gi poori
unhain main bhi kiyon sunaon unhain tum bhi kiyon sunao
ye judaiyon k raasty bari door tak gay hain
jo gaya wo phir na aaya mairi baat man jao
kisi be wafa ki khatir ye jounon faraz kab tak
jo tumhain bhula chuka usy tum bhi bhool jao

--------------------------------------------------------------------------------

meri khamosh mohabat ka itna to sila dia hota
kabhi ik nazar chahat sy dekh lia hota
hum bhi tujhy eshiq-o-mohabat sy aashna karty
bas ik bar apny dil main aany to dia hota
kia jata tumhara bas hamain hi dil ki khushi milti
apny dil ki kitab main naam hamara bhi likh lia hota
dekh lety zara ghor sy shayad
tumhary haath ki lakiron main meri kismat ka bhi dia hota
meri khamosh mohabat ka itnaaaaa to sila diya hotaaaaa.

-------------------------------------------------------------------------------

aaja k abhi zabt ka mosam nahi guzra
aaja k paharon py abhi barf jammi hy
khushbo k jazeeron sy sitaron ki hadoon tak
is shehar main sab kuch hy
BAS TERI KAMI HY,

---------------------------------------------------------------------------------

main usko bhoolon kaisi baat karty ho nasir
soorat to phir soorat hy wo naam bhi acha lagta hy

-----------------------------------------------------------------------------

koi aihad bhi usko yaad nahi
koi baat bhi usko yaad nahi
ik shaks ny usko chaha tha
wo zaat bhi usko yaad nahi
jab shab ko bijli chamki thi
or badal toot k barsa tha
hum dono jis main bheegy thy
wo barsaat bhi usko yaad nahi
us shab jab chaand ko dekha tha
wo raat bhi usko yaad nahi
wo kehta tha main sunti thi
main kehti thi wo sunta tha
in lakhon baaton main
IK BAAT BHI USKO YAAD NAHI

-------------------------------------------------------------

mery sajdon main kammi to na thi faraz
kia mujh sy bhi barh kr usko kisi ny manga tha.

----------------------------------------------------------

tumhari ik nigha sy qatal hoty hain log faraz
nazar hum ko bhi dekh lo k zindagi achi nahi lagti.

----------------------------------------------------------

hamary sabr ki inteha kia poochty ho faraz
wo mujh sy lipat k roya magar kisi or k liy.

-------------------------------------------------------

teri is bewafai pr fida hoti hy jaan apni faraz
khuda jaany agr tujh main wafa hoti to kia hota

-----------------------------------------------------------------

muddaton baad mila to mujh sy mera naam pooch lia faraz
wo jis ny bicharty waqt kaha tha tum bohat yaad aao gy

--------------------------------------------------------------------

is shayri sy dosti achi nahi SHAH
jahel tera mashra hy kuch to khayal kr

-----------------------------------------------------------------

gham se begaana bana deti hy chahat uski
main bhalakaisy bhula doon yeh inayat uski
main kabhi khud sy juda usko na kr paon ga
meri ik umer ka hasil hai mohabat uski
koi ja kr to zara itna bata dy usko
mujh ko us se bhi zayada hy zaroorat uski

 -----------------------------------------------------------

tu mera sab kuch hy bas mera muqadar nahi
kash
k tu mera kuch na hota mera muqadar hota

 ------------------------------------------------------------

WAQT”kehta hy mujhy ganwana mat
”DIL”kehta hy mujhy lagana mat
”DOST”kehta hy mujhy azmana mat
OR

”HUM”kehty hain k hamain bhulana mat.

------------------------------------------------------------

or kuch bhi nahi manga mery malik tujh sy
usky galiyon ki pari khaak bana dy mujh ko

 -------------------------------------------------------------

aik din pyar or dosti mily
pyar ny poocha=mery hoty hoy tera kia kaam hy?
dosti boli=main un honton py muskan lati hoon jinki
aankhon main yum ansoo chor jaaty ho

 ---------------------------------------------------------

 us ny chaha hi nahi chahny walon ki tarha
dil to kia cheez hy hum rooh main bhi utry hoty

 ------------------------------------------------------------

 ranjishain hi sahi dil ko dukhany k liy aa
aa phir sy mujhy chor k jany k liy a
-------------------------------------------------------
 Bheek Main Mili Khushiyan Mujhy Achi Nahi Lagti Faraz
Main Apny Dukhon Main Rehta Hoon Nawabon Ki Tarha
---------------------------------------------------------------------
Mere Lafzon Ko Agr Wo Pehchan Jata Faraz
To Usy Mujh Sy Nahi Khud Hi Sy Mohabat Ho Jati

---------------------------------------------------------------------

Mujhy Ye Zam Hy Main Hussn Ka Musavir Hoon
Unhy Ye Naz Hy K Tasveer To Hamaari Hy
--------------------------------------------------------------------- 

76 comments:

  1. Meri khushiyon k liy tum doa na karo k
    dukhon ki dehleez tak lany main
    tum ny bhi haath mera thama hy

    ReplyDelete
  2. kisi kamzor lamhy main us ny
    mery haath ki hatheli pr likha tha
    apni ungli sy
    MUJHY TUM SY MOHABBAT HY
    jaany kesi siyaahi thi wo
    k mit ti bhi nahi or dikhti bhi nahi.

    ReplyDelete
  3. ik bar kr k aitbaar likh do
    kitna hy mujh sy piyar likh do
    kat-ti nahi ab zindagi tery bina
    kitna or karoon intezaar likh do
    taras rahy hain bari muddat sy
    is bar apni mohabbat ka izhar likh do
    deewany ho jain jissy parh kr hum
    kuch aisa tum mery yaar likh do
    ziyada nahi likh sakty to mat likho tum
    mohabbat bhary lafz do char likh do
    ik bar likh do mohabbat hy mujhy tum sy
    bhir yahi baat bar bar likh do

    ReplyDelete
  4. raston py na betho k hawa tang kary gi
    bichry hoy logon ki sada tang kary gi
    mat chaho toot k usy aaghaz-e-safar sy
    bichry ga to ik ik ada tang kary gi.

    ReplyDelete
  5. tu ny kuch bhi na kaha ho jaisy
    mery hi dil ki sada ho jaisy
    yon teri yaad sy dil ghabraya
    tu mujhy bhool gaya ho jaisy.

    ReplyDelete
  6. hamari yaad satay to phir chaly aana
    kaheen karaar na aay to phir chaly aana
    hr ik shaks hy dunia main piyar k kabil
    kisi py pyar na aay to phir chaly aana
    tera waqar rahy ga hamari nazroon main
    nazar sy koi giraay to phir chaly aana
    hamary haal py duniya ko hansaany waly
    tumhain zamana rulaay to phir chaly aana
    khuda kary baharon main zindagi guzry
    khizan ka khof satay to phir chaly aana.

    ReplyDelete
  7. hum ny kab tum sy mulaqat ka waada chaha
    door reh kr bhi tumhain tum sy ziyada chaha
    bari shidat sy yaad aay tum
    jab bhi tumhain bhoolny ka irada chaha

    ReplyDelete
  8. uski aankhon main koi dukh basa hy shayad
    ya mujhy khud hi koi weham houa hy shayad
    main ny poocha k bhool gay ho tum bhi
    ponch kr mere ansoo kaha us ny haan shayad

    ReplyDelete
  9. zindagi main koi bhi arzoo poori na ho saki
    mangi mout to kambakhat wo bhi dagha dy gai

    ReplyDelete
  10. jab dil toot jata hy to awaz nahi aati
    hr kisi ko mohabat raas nahi aati
    ye to apny apny naseeb ki baat hy
    koi bhula nahi pata or kisi ko yaad nahi aati

    ReplyDelete
  11. usy keh do na samety mere ansuon ko
    ab toot chuka hoon bas bikhar jaon ga

    ReplyDelete
  12. ik basti thi dil walon ki
    jahan chand or sooraj rehty thy
    kuch sooraj man ka pagal tha
    kuch chand bhi shokh-o-chanchal tha
    wo basti basti phirty thy
    or hr pal hansty rehty
    phir ik din dono rooth gay
    or saary sapny toot gay
    ab chand bhi us waqt aata hy
    sooraj jab so jata hy
    badal sab sy kehty hain
    sooraj uljha uljha rehta hy
    chand k saath to tary hain pr sooraj tanha rehta hy…………!

    ReplyDelete
  13. yadain tairi khaloos ki dasti hy aj bhi
    milny ki arzoo main tarasti hain aj bhi
    ankhain hazar zabt ki koshish k bawajood
    ruk ruk k barasti hain aj bh

    ReplyDelete
  14. aasman bhi ro para us waqt mery haal pr faraz
    jis waqt mery naseeb main usy likh k mitta dia

    ReplyDelete
  15. tery baad na aaey ga meri zindagi main koi or faraz
    ik mot hy k jis ki hum qasam nahi dety

    ReplyDelete
  16. chahoon to ik nigha main khareed loon usko
    jisko naaz hy bohat k bikta nahi hoon main

    ReplyDelete
  17. suno hum toot jain gy
    k doori seh na pain gy
    judai maar daly gi
    suno ye aankhain bojhal hain
    inhain kesy behlain gy
    suno hum so na pain gy
    kabhi khush ho na pain gy
    judai maar daly gi
    suno ye dil tumhara hy
    na tum bin ab guzara hy
    suno kuch waqt do hum ko
    bana lain dost is gham ko
    hamain maloom hy aakhir
    judai maar daly gi…………

    ReplyDelete
  18. agr hum saath hoty to
    karam ki inteha karty
    tumhain palkon pe rakhty hum
    tumhain dil main basa lety
    agr tum rooth jaty to
    tumhain kitna manaty hum
    agr apni khata hoti
    to khud ko bhi saza dety
    magr ye sab tabhi hota
    agr hum saath hoty to…

    ReplyDelete
  19. wo jo hairaan hain mery zabt pe qateel keh do un sy
    jo daman pr nahi girty wo ansoo dil pe girty hain..

    ReplyDelete
  20. kabhi kabhi teri by niyazi sy khof kha kr
    main sochta hoon k tu mera intekhab kiyon hy

    ReplyDelete
  21. main to na tha uska talabgar faraz
    kashish hi us main kuch aisi thi k zindagi ban gaya wo meri

    ReplyDelete
  22. is dafa to barishain rukti nahi faraz
    hum ny ansu kia piye k saary mosam ro pary

    ReplyDelete
  23. din to is shehar ki ronq main guzar jata hy faraz
    yaad kuch log sr-shaam bohat aaty hain

    ReplyDelete
  24. suna hy rabt hy usko kharaab halon sy
    to apny aap ko brbaad kr k dekhty hain

    ReplyDelete
  25. wo jo poochti hy mujh sy bar bar k
    zindagi kia hy or mout kia hy
    aj tumhain bata doon
    tumhain pa lia to zindagi hy
    tumhain kho dia to mout hy

    ReplyDelete
  26. suna hy k log usy aankh bhr k dekhty hain
    to us k shehar main kuch din tehar k dekhty hain
    suna hy rabt hy usko kharaab halon sy
    so apny aap ko barbaad kr k dekhty hain
    suna hy dard ki gahak hy chashm-e-naz uski
    so hum bhi uski gali sy guzar k dekhty hain

    ReplyDelete
  27. suna hy usko bhi hy shair o shairi sy shaghaf
    to hum bhi moajzy apny hunnar k dekhty hain
    suna hy boly to baaton sy phool jharty hain
    ye baat hy to chalo baat kr k dekhty hain
    suna hy raat usy chaand takta rehta hy
    sitary baam falak sy utar k dekhty hain
    suna hy din ko ussy titliyan satati hain
    suna hy raat ko jugno tehar k dekhty hain

    sunaa hy hashar hain uski ghazaal aankhain
    suna hy usko hiran dasht bhar k dekhty hain
    suna hy us k labon sy gulaab jalty hain
    so hum bahaar py ilzaam dhar k dekhty hain
    ruky to gardishain uska tawaaf karti hain
    chaly to usko zamaany tehar k dekhty hain
    ab us k shehar main tehrain k kooch kr jain
    faraz aao sitary safar k dekhty hain.

    ReplyDelete
  28. AAnsuoon ko bohat samjhaya k
    tanhaiyon main aaya karo
    mehfil main hamara mazaq mat uraya karo
    is par aansu tarap k boly
    itny logon main bhi aap ko tanha paaty hain
    is liy apka saath deny chaly aaty hain

    ReplyDelete
  29. mujhy sab kuch qabool hy a falak
    ghm-e-yaar mujh sy talab na kr
    main usy kesy dil sy juda karoon?
    jo meri umer bhar ki talash hy

    ReplyDelete
  30. us k kehny par us ki tamanna bhi chor di hum ny faraz
    zara hum bhi to dekhain kon chahta hai usy hamari tarha

    ReplyDelete
  31. kabhi abad karta tha kabhi barbad karta tha
    sitam hr roz wo ik naya aejaad karta tha
    zamana ho gaya lakin khabar leny nahi aaya
    jo panchi roz mere naam pr azad karta tha.

    ReplyDelete
  32. mujh ko rula kr wo bhi roya to hoga
    muh ansuon sy usny bhi dhoya to hoga
    agr na kia hasil kuch hum ny pyaar main
    kuch na kuch us ny bhi khoya to ho ga.

    ReplyDelete
  33. YE YAAD HY TERI YA YAAD KHUD TUM HO
    YE KHAWAB HY TERA YA KHAWAB BHI TUM HO
    MAIN NAHI JANTI BAS ITNA BATA DO
    MUJH MAIN JAAN HY TERI YA MERI JAAN TUM HO..

    ReplyDelete
  34. Main ny kaghaz py banai thi ankhain uski
    dost kehny lagy mujh sy K GHAZAL ACHI HY.

    ReplyDelete
  35. ab to aankhon main samati nahi koi soorat
    ghor sy main ny usy kaash na dekha hota

    ReplyDelete
  36. main tujhy dhoondny yaadon ki khuli sarkon pr
    khushk patton ki tarha roz bikhar jata hoon.

    ReplyDelete
  37. Ajnabi
    chand sooraj or taary ajnabi
    ik musafir sab nazary ajnabi
    mojizah hy gardish e halaat ka
    shehar apna log sary ajnabi
    ajnabiyat ka taluk khoob hai
    hum tumhary tum hamary ajnabi
    jaan k dushman hamary aashna or
    aashna sary k sary ajnabi
    zindagi ki talkhiyan hain humnasheen
    phool khushbu rang sary ajnabi
    wo jisy hum ny kabhi pehchan di
    aj wo hum ko pukary Ajnabi.

    ReplyDelete
  38. jadu-e-ishq tha us k saath hony tak
    wo musafir tha bichr gaya raat hony tak
    wo kuch is kamal se khela tha ishq ki bazi
    main apni jeet samajhta raha haar hony tak

    ReplyDelete
  39. shaam hony sy pehly lot aana
    kisi k naam hony sy pehly lot aana
    hum tery intezaar main hain
    anjaan hony sy pehly lot aana
    subha shaam rehti hy tery DeeDar ki umeed
    din khatam hony sy pehly lot aana
    agar na lot pao to bus itna kar dena
    MERI ZINDAGI KHATAM HONY SY PEHLY LOT AANA.

    ReplyDelete
  40. jo hum mehsoos karty hain
    agr tum tak pohanch jay
    to bus itna samajh lena
    ye un jazbon ki khushbu hy
    jinhain hum keh nahi sakty
    magr tum jo ijazat do
    to chand lafzon main keh doon
    k tum bin jee nahi sakty
    K TUM BIN JEE NAHI SAKTY.

    ReplyDelete
  41. mujhy fursat hi fursat hy
    mujhy fursat hi fursat hy
    sawiry jald uthna hy
    na shab ko dair sy sona hy
    kaheen bahir nahi jana
    kisi sy bhi nahi milna
    na koi fikr lahaaq hy
    na koi yaad baqi hy

    magar ye aakhri misra
    zara sa jhoot lagta hy!!!

    ReplyDelete
  42. TAPAK PARTY HAIN AANSOO JABTUMHARI YAAD AATI HY
    YE WO BARSAAT HY JIS KA KOI MOSAM NAHI HOTA.

    ReplyDelete
  43. us sy kehna hum mazy main hain
    bus yaadain bohat satati hain
    unki doori ka ghum nahi mujhy
    bus zara aankhain bheeg jati hain.

    ReplyDelete
  44. MOHABAT KAHO TO IK LAFZ
    MANO TO BANDAGI
    SOCHO TO GEHRA SAAGAR
    DOOBO TO ZINDAGI
    KARO TO AASAAAN
    NABHAO TO MUSHKIL
    BIKHRY TO SARA ZAMANA
    SIMTY TO SIRF TUM!!!

    ReplyDelete
  45. gar bazi ishq ki bazi hy jo chaho laga do dar kesa
    gar jeet gay to kia kehna,haary bhi to bazi maat nahi.

    ReplyDelete
  46. wo paas aay to mozu-e-guftagu na mily
    wo lot jay to tamaam guftagu ussi sy hy.

    ReplyDelete
  47. muskurany ki aadat bhi kitni mehangi pari humko faraz
    chor gaya wo ye soch kr k hum judai main bhi khush hain.

    ReplyDelete
  48. Kisi ko na pany sy zindagi khatam nahi hoti FARAZ
    lakin kisi ko pa kr kho deny sy kuch baqi nahi rehta.

    ReplyDelete
  49. guzry hoy taveel zamany k baad bhi
    dil main raha wo chor k jany k baad bhi
    pehloo main reh k dil ny dia hy bohat faraib
    rakha hy usko yaad bhulaany k baad bhi
    go tu yahaan nahi hy magar tu yaheen py hy
    tera hi zikar hy tery jaany k baad bhi
    lagta hy kuch kaha hi nahi hy usko faraz
    dil ka tamaam haal sunnany k baad bhi.

    ReplyDelete
  50. ashiqi bbe dilli sy mushkil hy
    phir mohabbat ussi sy mushkil hy
    ishq aaghaz hi sy mushkil hy
    sabar karna abhi sy mushkil hy
    hum aasaan hain or hamary liy
    dushmani dosti sy mushkil hy
    jis ko sab bewafa samajhty hon
    bewafai usi sy mushkil hy
    ek ko doosry sy sehal na jaan
    har koi hr kisi sy mushkil hy
    tu ba zid hy to ja magar faraz
    wapsi us gali sy mushkil hy.

    ReplyDelete
  51. kuch tu hi mery darad ka mafhoom samajh ly faraz
    hansta hua chehra to zamany k liy hy

    ReplyDelete
  52. zalzaly younhi be sabab nahi aaty faraz
    koi dewaana tah-e-khak tarapta hoga

    ReplyDelete
  53. koi nahi hy mery jesa charon our
    apny gird ik bheer saja k TANHA hoon

    ReplyDelete
  54. mery ishq dy vich mashooq na ho
    nai aj tak ghalat nigah kitti
    teri har mulaqat main ainj kitti
    jevain MUSA naal KHUDA kitti
    nai farq kitta teri pooja vich
    nai khatraan di parwah kitti
    ik tenu RAB nai keh sakda
    baqi saari rasm ada kitti
    BABA BULLY SHAH

    ReplyDelete
  55. suno tum sy juda ho kar laga wo ghao gehra hy
    hamari dil ki wadi main jahan tha raj khushiyon ka
    WAHAN AB DARD THEHRA HY……..

    ReplyDelete
  56. aaja k abhi zabt ka mosam nahi guzra
    aaja k paharon pr abhi barf jammi hy
    khushboo k jazeeron sy sitaron ki haddon tak
    is shehar main sab kuch hy bus teri kammi hy

    ReplyDelete
  57. MUJHY KOI RANG DIA HOTA

    kitna be bas kr dety ho
    mujhy koi rang dia hota
    main unki be rang aankhon main bharta
    mujhy koi chehra dia hota
    main un be chehron ko sonp deta
    mujhy marhum dia hota
    main un k zakhmon pr lagata na thakta
    mujhy masiihai di hoti
    main apny aap ko waqf kr deta
    mujy beenai di hoti
    main shehar bhar main taqseem karta
    mujhy hosla dia hota
    main tassalli deny k qabil to hota
    MUJHY MOHABBAT DI HY
    OR KAMZOR KR DIA HY

    ReplyDelete
  58. Kabhi Meherbaan Tha To Kabhi anjaan Tha
    Mera Weham Tha Yan Wo Mera Ghumaan Tha

    De Ke Zakham Wo Marham Rakhta Tha
    Ban Raha Tha Ya Waqai Wo Itna Nadaan Tha

    Mujhe Se Bichar Gaya Tha Wo Ik din
    Wo shakash Jo Kal Tuk Meri Pehchan Tha

    Khuda Ko Chate Itna To Kuch Mil Hi Jata Shayad
    Hum ne chaha jisko Wo Ik Insan Tha

    ReplyDelete
  59. Bhale dino ki baat hai….
    Bhali si ek shakal thi…
    Na yeh Husn-E-Taam ho…
    Na dekhne main aam ho….

    Na yeh ke woh chale to kehkashan si guzar lage….
    Magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage….

    Koi bhi rut ho us ki chhab….
    Fiza ka Rang-O-Roop thi…
    Woh garmiyon ki chhaon thi….
    Woh sardiyon ki dhoop thi…..

    Na muddaton juda rahe…
    Na saath Subh-o-Shaam ho….
    Na Rishta-E-Wafa pe zid….
    Na yeh ke Izn-E-Aam ho….

    Na aisi khush libasiyan…
    Na sadgi gila kare…
    Na itni be takallufi…
    Ki aaina haya kare….

    Na ikhtilaat main woh ram…
    Ki bad maza ho khwahishein…
    Na is qadar supurdgi…..
    Ki zach karein nawazishen….

    NA aashiqui junoon ki….
    Ki zindagi azaab ho….
    Na is qadar kathor pan….
    Ki dosti kharab ho…..

    Kabhi to baat bhi khafi….
    KAbhi sukoot bhi sukhan….
    Kabhi to Kasht-E-Zafraan…..
    Kabhi to udasiyon ka ban…..

    Suna hai ek umar hai…
    Muamilaat-E-Dil ki bhi…
    Visaal-E-Jaanfiza to kya….
    Firaaq-E-jaangusal ki bhi….

    So ek roz kya hua….
    Wafa pe behes chirh gayi….
    MAin ishq ko amar kahoon…
    Woh meri zid se chid gayi….

    Main ishq ka aseer tha…
    Woh ishq ko qafas kahe…..
    Ke umar bhar ka saath ho….
    Woh Bad-Taraz-Hawas kahe…

    Main koi painting nahi….
    Ki ek frame main rahoon…
    Wahi jo mann ka meet ho….
    Ussi ke prem main rahoon…

    Tumhari soch jo bhi ho….
    Main is mizaaj ki nahi….
    Mujhe wafa se bair hai….
    Yeh baat aaj ki nahi…

    NA uska mujh pe maan tha….
    Na mujhko us pe zaam hi…..
    Jo ahad hi koi na ho….
    To kya Gham-E-Shikastgi….
    So apna apna rasta….
    Hansi khushi badal diya…
    Woh apni raah chal pari…
    Main apni raah chal diya…

    BHali si ek shakal thi…
    Bhali si uski dosti….
    Ab us ki yaad raat din…
    Nahi, magar “Kabhi-Kabhi”

    ReplyDelete
  60. BABA FAREED

    Dosti yaari da maza tad onda,
    jad dovan dilan vich khich hovey,
    Edron main niklan te odron tu niklain,
    Milap dovan da gali de vich hovey,
    Chalavin teer judaiyan wale hazar,
    Zakham dovan te takleef ik hovey,
    Ghulam Farida dosti da maza tad honda,
    Jey Kafan do hovin, te Qabar ik hovey…

    ReplyDelete
  61. Qissa abhi hijab se agy nhi barha
    me aap , wo janab,se agy nhi barha
    mudat hui kitab e mohbt shru keye
    lekin me pehly baab se agy nhi barha
    lambi musaften hn magr is sawaar ka
    pau abhi rakab se agy nhi barha
    kalaam k leye me ne keye swal
    wo mukhtasar jawab se agy nhi barha
    wo lazat e gunha se mehroom he raha
    jo khuwhish e sawab se agy nhi barha…

    ReplyDelete
  62. WOH EK MASOOM SI CHAHAT,

    WOH EK BE’NAAM SI ULFAT,

    WOH MERI ZAAT KA HISSA,

    WOH MERI ZEEST KA QISSA,

    MUJHE MEHSOOS HOTA HE,

    WOH MERE PAAS HE AB BHI,

    MAIN US KO BHOOL KAR BHI,

    BHOOL NAH PAYA KABHI BHI,

    WOH JAB JAB YAAD AATA HE,

    NIGAHON MAIN SAMATA HE,

    ZUBAN KHAMOSH HOTI HE,

    MAGAR YEH AANKH ROTI HE,

    MAIN KHUD SE POOCH LETA HOON,

    JISE MAIN YAAD KARTA HOON,

    USSAY KYA PYAR THA MUJH SE?

    JAWAB SOCH LETA HOON,

    USAAY BHI PYAAR THA SHAYAD,

    ISSI SHAYAD SE WABASTA HE,

    AB TO HAR KHUSHI MERI . . .

    ReplyDelete
  63. Woh jo poochti hai mujhe baar baar,
    Ke kya Zindagi hai Aur Kya Maut hai?
    Aaj tujhe bata doon!!
    Tujhe paa liya to hai Zindagi..
    Tujhe kho diya to Maut hai

    ReplyDelete
  64. koee ummeed bar naheeN aatee
    koee soorat nazar naheeN aatee

    maut ka ek din mu’ayyan hai
    neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?

    aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
    ab kisee baat par naheeN aatee

    jaanta hooN sawaab-e-taa’at-o-zahad
    par tabeeyat idhar naheeN aatee

    hai kuchch ‘eisee hee baat jo chup hooN
    warna kya baat kar naheeN aatee ?

    kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
    meree aawaaz gar naheeN aatee

    daaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
    boo bhee ‘ei chaaraagar ! naheeN aatee

    ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
    kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee

    marte haiN aarzoo meiN marne ki
    maut aatee hai par naheeN aatee

    kaaba’a kis muNh se jaaoge ‘GHalib’
    sharm tumko magar naheeN aatee

    ReplyDelete
  65. Hui muddat ki Ghalib mar gaya par yaad aata hai,
    Woh har ek baat pe kehna ke yoon hota to kya hota.

    ReplyDelete
  66. Hue mar ke ham to ruswa, hue kyoon na gharq-e-dariya,
    Na Koi janaza uthta, na kahin mazaar hota.

    ReplyDelete
  67. Rah-e-Wafa Mein Aziyat Shanasayan Na Gayen ..!!
    Kisi Bhi Ruth Mein Hamari Udasiyan Na Gayen..!!

    Tanni hay Abar Ki Chader Bhi Aasman Pey Magar..!!
    Sho’a-e-Maher, Teri Be-Libasiyan Na Gayen..!!

    Teray Qareeb Bhi Reh Kar Tuje Talash karon..!
    Muhabatoon Mein Meri Bad-hawasiyan Na Gayen..!!

    Khuda Khaber Kahan Koonjo Kay Kafilay Uthrey..??
    Samander Ki Taraf Bhi Toa Piyasiyan na Gayen..!!

    Khizaan Mein Bhi Toa Mehakti Ghazal Pehan Kay Mila..!!
    Mizaaj-e-Yaar Teri Khush Libasi’yan Na Gayen..!!

    Basant Ruth Mein Bhi Mander Udaas Thay Mohsin..!!
    Kay Dewa’toon Say Milnay Ko Dasiyaan Na Gayen..!!

    ReplyDelete
  68. BHARKAein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein..!!
    Sehra Mera Chehra Hay, Samander Teri Ankhein..!!

    Phir Kaun Bhala Daad-e-Tabassum Inhein Dega..!!
    Rooyein Ghi Buhat Mujse Bichar Kar Teri Ankhein..!!

    Khali Jo Howi Shaam-e-Gharibaan Ki Hatheli ..!!
    Kia Kia Na Lutaati Rahein Guhar Teri Ankhein..!!

    Boojal Nazar Aati Hein Bazahir Muje Laikin..!!
    Khulti Hein Buhat Dil Mein Uther Kar Teri Ankhein..!!

    Ab Tak Meri Yadoon Say Mitaye Nahe Mittta
    Bheegi Howi Ek Shaam Ka Manzer, Teri Ankhein..!!

    Mumkin Ho To Ek Taza Ghazal Aur Bhi Keh Loon..!!
    Phir Oarh Nah Lein Khuwaab Ki Chader, Teri Ankhein..!!

    Mein Sang-e-Sift Eik Hi Rastey Mein Khara Hoon..!!
    Shayid Muje Dekhein Ghi Palat Kat Teri Ankhein…!!

    Yun Dekhtey Rehna Ussey Acha Nahe Mohsin..!!
    Woh Kaanch Ka Pekar Hay To Pather Teri Ankhein..!!

    ReplyDelete
  69. Hans Bhi Lena Kabi Khud Per Mohsin..!!
    Har Gari Aankh Ko Numm Kia Rakhna..??

    ReplyDelete
  70. Apne Siwa batao tumhein Kuch MiLa Hai FARAZ ..
    Hazar bar leen hain tumne mere dil ki talashiyaan

    ReplyDelete
  71. Tumhari dunya me hm jese hazaaron hen faraz
    Hum hi pagal the jo tumhay pa k itranay lagay

    ReplyDelete
  72. Bus yehi baat donon ke darmiyan kasheedgi ka sabab thehri Faraz
    Mujh ko charaghon se pyar tha aur us ke hawaon se the rabtay

    ReplyDelete
  73. dill ye bhi chahta hai hijra’n k mausamo’n mai
    kuch qurbato’n ki yadain ham door paar bhejain

    dill ye bhi chahta hai unn phool se labo’n ko
    dast e saba pe rakkh karr shabnam k haar bhejain

    dill ye bhi chahta hai uss jaan e shairy ko
    kuch shair apne chunn kar kuch shahkaar bhejain

    dill ye bhi chahta hai sab bhaid chahto’n k
    harr maslehat bhula kar be ikhtiyar bhejain

    dill ye bhi chahta hai pardey mai ham sukhan k
    diwangi ki batain diwana waar bhejain

    dill ye bhi chahta hai ya chupp ka zehr pee lai’n
    ya daman o gareeba’n ham taar taar bhejain

    dill jo bhi chahta ho lekin FARAZ socho
    ham tauq e aashnai kasiey utaaar bhejain

    ReplyDelete
  74. phir pyaar kisay tum kehtay ho,
    khamosh zuban k lafzon mai,
    kuch poseda si baten hai,
    in batoon ko hum mudat se,
    sene me chupa kar baithey hain,
    kuch paey bina kuch kho dena,
    ye pyaar me hum ne cekha hai,
    suraj me chand sitaron mai,
    har seh me tum ko dekha hai,
    dharkan me b nagma ban kar,
    sagar ki tarhan tum bethay ho,
    ye pyaar nahi to tum hi kaho,
    phir pyaar kisay tum kehtay ho !!!
    Phir pyaar kisay tum kehtay ho !!!

    ReplyDelete
  75. Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay

    Theek Kehtey Hain
    Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
    Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Katba Hay
    Key Jiss Per Saaf Likha Ho
    Shaheed-e-Raah-e-Ulfat
    Ashiq-e-Nakaam Ka Marqad

    Mohabbat Aik Katba Hay

    Laga Hota Hay Jo Aksar
    Kabhi Layla Kay Marqad Per
    Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
    Kabhi Soni Kay Matkay Per
    Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per

    Mohabbat Aik Katba Hay…
    Kay Jis Per Saaf Likha Ho…

    Mohabbat Maot Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
    Mohabbat Dil Pay Laahaq Roag Hay
    Taa Umer Rona Hay
    Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
    Aur Jaan Khona Hay

    Muhabbat Arzoo-o-Hasrat-o-Arman-o-Kuwahish Ki
    Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
    Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
    Koi Nahi Aata
    Mager Phir Bhi
    Laboon Per Her Kisi Insane Kay Rakha Hay Ye Jumla

    MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY

    Koi Mujh Say Ager Kah Day
    Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
    To Dar Jata Hon May Bayhad
    Yeh Dil Main Wehem Aata Hay

    Kay Ye Izhar Ka Jumla
    Muhabbat Ka Yah Ik Katba

    Phir Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
    Boseeda Si Ik Qaber Ki
    Zeenat Na Ban Jaey
    Mohabbat Ka Yah Katba
    Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
    Wohee Katba
    Kay Jiss Per Saaf Likha Ho

    Shaheed-e- Raah-e-Ulfat
    Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad

    ReplyDelete
  76. Kya Mila Mohabbat Say
    Khawab Ki Musafat Say
    Wasal ki Tamazat Say
    Roz o shab Riazat Say
    Kya Mila Mohabbat Say
    Aik Hijr ka Sehra
    Aik Sham Yadoon Ki
    Aik Thaka Hoa Aansu..!

    ReplyDelete