Kawish

to jahan rahay meri dua ki chaoun ho
wo shaher ho ya gaoun ho
teri ankh main nami na ho
kisi cheez ki kami na ho
tujhe jo lagay nazar na ho
kisi dukh ko teri khabar na ho
to jisay chahay wo tujhay milay
teri wasal-e-shab ki sehar na ho
teri rah main koos-e-kaza rahay
khushi teray paoun ki dhool ho
meri ye dua kabool ho.
**************************************
suno tum lout ao na…………………
woh dekho chand nikla hay ……………..
sitary jagmagty hen……………………
hamari muntazir ankhen………………..
tumen hi sochti ankhen………………..
tumen hi dhonti ankhen……………….
tumen wapis bulati hen……………….
ye dil jab b drakta hay ……………….
tumara naam leta hay ………………….
ye ansoo jab b bhety hen………………….
tumary dukh may bhety hen……………….
barish jab b hoti hay ……..,.,.,…………
tumen ko yaad karty hen……………………
khushi koe jo aye b……………….
tumary bin adhori hay………………
suno tum loat aao na ………………..
suno tum loat aao na………

***************************************************
Ya Rab Mujhe Tujhse Koi Gila Nahein,
Wo Naseeb Main Nahein Tha Is Liye Mila Nahein.
Aap Na Dilaye Yaqeen Koi Apni Chahat Ka,
Phir Ek Bar TOOTNE Ka Honsla Nahein
******************************************
Aaj Door Se He Koi Salam Kerr Gaya,
Apni Yaadon Ka Gulaam Ker Gaya.
Apni Zindagi Girwi Rakh Ker Kharida Tha Jis Ko,
Aaj Wohe Humain Saray Bazar Neelam Ker Gaya.

*******************************************
Ye jo tujh Say ho k main ajnabi.
Youn guzar gaya hoon kabhi kabhi.
isy beyrukhi na shumaar kar.
Taray sung jo mera mail hai.
Ye Maray naseeb ka khail hai.
Mujhay her tarha sey khushi hui.
” KABHI JEET KAR KABHI HAAR KAR “
*******************************************
Bay-rabt si tahreer ibarat nahi hoti….
Haathon ki lakeron mein to qismat nahi hoti….
Sajday mein dikhawa ho to sajda nahi hota…..
Gardan k jhukanay say ibadat nhi hoti…
Wo shakhs mohabbat say hamesha raha mehroom….
Auron k liye jis mein mohabbat nhi hoti…
Chehray ka singhaar kabhi kaam na aaya…
Seerat k bina soorat ,soorat nhi hoti…
shahkaar ki takmeel mein shamil na ho gar fikr….
Tasveer to ban jati hai moorat nahi hoti….
**********************************************
Mein tou is wastey chup hoon keh tamasha na bunay
Tou samajta hai mujay tuj sai gila kuch bhi nahin
Tumharay bus mein agar ho tou bhool jao humein
Tumhein bhulaney mein shayed humein zamaney lagein
**************************************************
Log apna banake chor dete hai,
Rishta gairo se jod lete hai,
Hum to ek Phool bhi na tod sake,
Log to najany kassy dil tor dete hai….
****************************************
kabhi dil to kabhi shama jala ke roye
teri yaadon ko dil se laga ke roye
raat ke aagosh me jab so gaye duniya sari
ae-dost chand ko teri tasvir bana ke roye
***********************************************
Har aik lab pe mera tazkra zarori hai
Mohabaton main koi mojza zarori hai
Ana ko thes tu pohnchay gi rasty main
Palat kar uski tarf dekhna zarori hai
Jisay yeh zid thi mohabat main fasla na rahay
Wo keh raha hai ke ab fasla zarori hai
Fasanay main nahi hai tazkira bichrnay ka
Aur is main aik yahi waqea zaroori hai
Wo chandni main niklta hai mery ghar ki tarf
So chand dhalnay tak jagna zaroori hai……………………………!!!
******************************************************
dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata,
humse tuta hua sisa dekha nahi jata,
apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe,
aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata.
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

***********************************************
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe
******************************************************
Wo mere liye kuch khaas hai yaaro,
jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro,
wo nazroo se door hai to kya huva,
Banke dil ki dhadkan mere paas to hai yaaro……………!!!!!!
*********************************************************
Jee Main Aata hay K Aaaj Tumhain Terpa doun
Dard Jo Tumnay Diye Wo sub Tum Ko Louta Doun
Ager Bhool Gaye Ho To Ye Batla Doun
Tum Mujhay Hasil-E- Armaan kaha Kertey They
Main Wohe Hoon …
Jisay Tum Piyaar Kia Kertey They….
*****************************
mout se mukker jain
zindgi se darr jain
hijer k sumander ko
aao paar ker jain
rasty ye kahty hian
abb tu apny gher jain
aik zara se mohlat ho
dil ki bat ker jain
shaher e ishq se aakhir
kaisy moutaber jain
wo palt k daikhy tu
rang se bikher jain
****************************************
Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye
Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye
Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar
Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye
*******************************************************
HUM INTEZAAR KARIENGAY TERA QAYAMAT TAK
KHUDA KARE KE QAYAMAT HO AUR TU AAAYE
*******************************************************
AIK QATRA TO KIA HUM DARIYA BHI USS KE NAAM KERDETE
WOH KEHTA TO SAHI AIK BAAR PIYAASE LEHJAY MAIN
**************************************************************
nazar kuch zuban kuch hont kuch keh jatye hein
ham unhein apna aur wo hamein ajnabi kah jatye hein
kabi to sonno mere seenay mein chuppi us awaz ko
ham jise aap, aur aap deerye se darkan kah jatye hein
************************************************
Hum ko acha nahin lagta koi hum naam tera
Koi tuj sa ho tu phir naam bhi tuj sa rakhay
Dil bhi ha k usi shakas se wabasta hai
Jo na kisi aur ka honay day na apna rakhay
*********************************************
Aayaya hian samjhanay loog..
Hain kitnay dewanay loog….
Dair –o haram main chaain jo milta
Kyun Jatay May-khanay loog
Jaan k sab kuch, kuch b na jan-aian
Hain kitnay anjanay loog.
Waqt pay kam nahi aatay hian ..
Yah janay pahchanay loog..
Ab jab mugh ko hosh nahi hay……
Aayayay hian samjhany loog..
Hian kitnay deewanay loog…..
*****************************************
Jitnay Mausam Teray Saath Guzray
Naa-jaanay Teray Wastay Un Ki Soorat Ha Kia!
Joo Tujhay Yaad Kertay Han, Un K Liye
Ab Khizan K Siwa Koi Mausam Nahi………..
******************************************
socha nahi acha bura …
daikha suna kuch bhi nahi…
manga khuda se raat din…
teray siva kuch bhi nahi…
socha tujhe,daikha tujhe…
chaha tujhe,pooja tujhe…
meri khata meri wafa…
terui khata kuch bhi nahi…
jis per hamari ankh ne …
moti barsay raat din…
bheege wohi kagaz …
os per ham ne likha kuch bhi nahi..
ic sham k saey taley …
baithay rahay wo dair tak…
ankhoun se ki batain buhat…
moun se kah kuch bhi nahi…
ehsas ki khushboo kahan…
awaz k jugno kahan..,….
teri khamosh yadoun k siva …
ghar main raha kuch bhi nahi..,.,..,.,.
***************************************
Koi Is tarha Se Mere Sath Adawat Karta !!
Qaid Kar Leta Mujhe Or Hukumat Karta !!
Mein Ne Kab Kaha Tha Ke Wo Sub Ko Chor De !!
Wo Apne Andaz Se Karta Par Mohabbat tu Karta !!
************************************************
Itni Mazbooti Se Veerane Ke dar Band hue !!
Dil Mein Utri Na Koi Zaat Teri Zaat ke Bad
**************************************
Ek baat kahoo gar sunty hoo
Tum muj ko acchy lagty ho
Kuch chanchal say kuch chup chup say
Kuch pagal lagty hoo
Hain chahnay walay aur buhat
Per tum me hai ek bat alaag
Tum apny apny lagty hoo
Tum mujh ko acchy lagty hoo
Yeh baat baat per kho jana
Kuch kehtay kehtay rukh jana
Yeh kiss uljhan main rehty ho
Tum muj ko acchy lagty ho
Kia baat hai keh dalo
kya tum bhi hum pa marty ho
Ek baat kahoon gar sunty hoo
Tum mujh ko achy lagty hoo
Tum mujh ko acchy lagty hoo
*******************************************
Mohabbat Ki Kasam Wo Aisa Nahi Tha !!
Wo apna Tha Magar Lagta nahi Tha !!
Na Jane Q Na Aaya Mujh Se milne !!
Zamanay Se Tu Wo Darta Nahi Tha !!
Tabasum Ki Buri Aadat Thi Us Ko !!
Wo Mujh Ko Dekh Kar Tu Hansta Nahi Tha !!
Mere Dil Mein Hai Ab Bhi Us ki Ulfat !!
Wo Mera Tha Mere Jaisa Nahi Tha
*********************************************
Piyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi aaya Bhi Nahi !!
Kaisa Badal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhi Nahi !!
Be Rukhi Is Se Bari Or Bhala Kia Ho Gi !!
Ek Mudat Se Hum Ko Us Ne Sataya Bhi Nahi !!
Sun Liya Kaise KHUDA Jane Zamane Bhar Ne !!
Wo Fasana Jo Kabhi Hum ne Sunaya Bhi Nahi !!
Tum Tu Shayar Ho Qateel Or Wo Ik Aam sa Shakhs !!
Us Ne Chaha bhi Tujhe Or Jataya Bhi Nah
**************************************************
Koi Waqt Purana Yaad Aya !!
Phir Dour Sohana Yaad Aaya !!
Or Chupkay Se In dewaron Pe !!
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aaya !!
Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein !!
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per !!
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le !!
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya !!
Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha !!
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha !!
Barish ki Bheegi Raaton Mein !!
Tera Hath hilana Yaad Aaya !!
Wo Waqt Gaya Betay Lamhe !!
Ab Her Janib Tanhai Hai !!
Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein !!
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya
**************************************************
Choti Choti Baaton Ka Ab Dehan Na Rakh !!
Dil Mein Ghar Kar Len Gi In Pe Kan Na Rakh !!
Hijar Ka tohfa Tha Ab wisil Na De !!
Khudaron Per Itne Bhi Eshsan Na Rakh !!
Aj Tu Mujh Se Bichra Hai Kal soche Ga !!
Lekin Khush Reh Pae Ga Ye Imkan Na Rakh !!
Kal Phir Rehne Ae Ga Koi Muj Jaisa !!
Dil Ek Ghar Hai Yun Viran Na Rakh !!
Teri Khush Fehmi Sharminda Kar De Gi !!
Tujhe Hum Dono Ke Darmeyan Mezan Na Rakh !!
***************************************************
Tujh Ko Hi Sochte Rehna Hai Ab Kam Hai Mera !!
Mere Her Zikar Mein Aa Jata Hai Naam Tera !!
Kabhi Khushbo Kabhi Jado Kaha Mein Ne !!
Kisi Ne Mujh Se Pocha Jo Kabhi Naam Tera !!
Dil Se Apna Pocha To dahrakta Hai Kis Liya !!
Us Ne Chup Ke Se Mere Kanoo Mein Kaha Naam Tera !!
Hawa Se Kaha Ye Tujh Sang Kisi Ki Hai Khushbo !!
Us Ne sargoshi Mein Kaha Mujh Se Naam Tera !!
Bare Hi Shok Se Likha Ek Darakht Ki Shakh Per !!
Apne Ism Ke Sath Khubsurat Naam Tera !!
Apni Mohabbat Ki Kuch Aisi Misal Ho !!
Koi Muj ko Pukare Or Le Naam Tera
************************************************
Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali !!
Pyar Ka Naam Jo Leta Hoon Tu Dar Lagta Hai !!
Zakham Kuch Aisa Mujhe Apno Ne Diya !!
Ab Koi Pyar Se Bhi Milta Hai Tu Dar Lagta Hai
**********************************************
Koi Ankhon Se Baat Ker Leta Hai,
Koi Ankhon Mein Mulaqat Ker Leta Hai,
Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena,
Jab Koi Khamosh Reh Ker Sawaal Ker Leta Hai
**********************************************
Tuj ko duniya se fursat mily tu tujh se pochoo..
yaad bhi aaty han tujhy DOST purany valy
ek tu hy jisy bhool na paye hum
varna andaaz tu aaty han hamay bhi zamany valy
***********************************************
Kisi kisi ko koi itna pyar daita hay,
Falak se chand sitare utar daita hay,
Tere milne ki talab muj ko zinda rakhti hay,
Teri judai ka dard muj ko mar deta hai
*********************************************
AANKH”
“Jab Ye Jhukti Hai To Dunya Ki Har Shay Apne Andar Samait Leti Hai
Jab Ye Dekhti Hai To Samander Ki Gehraion Se Moti Nikal Leti Hai
Jab Ye Muskurati Hai To Dunya Ki Tamam Masumiat Apne Andar Jazb Kr Leti Hai
Jab Roti Hai To Arsh Ko Hila Deti Hai
Our
Jab Band Hoti Hai To Dunya Ko Rula Deti Hai
************************************************
Batao…!
Kahan milo gy tum?
Tumhain ik phool dena hai
Tum sy ik ehad lena hai
Tumhain emaan kehna hai
Tumhain dil,
dharkan,
jan kehna hai.
Jo juda karny ki hain sazishain,
Unhain bejaan kehna hai
Haan tum sy bohat kuch kehna hai
batao.
kia mohabbat me ik phool bohat hoga?
ya phir tum chand mango gy.?
ya meri jaan mango gy?
ya hamesha ka tum saath mango gy?
Ya phir hijr ka azaab mango gy?
batao.
kahan milogy tum
tumhain ik phool dena hai
*******************************************
Teri Tanhaion Mein Shareek Ho Jaon !!
Sochta Hoon Aksar Ke Tera Naseeb Ho Jaon !!
Na rehe Kisi Or Ki arzo Tujhe kabhi !!
Jo Ho Mumkin Tere Itne Qareeb Ho Jaon
**************************************************
ane us shakhs ko kaisa ye hunr ata hai
Raat hoti hai to ankhon mai utr ata hai
Me uske khyal se niklon to kahan jaon
Wo meri soch k hr raste pe nazr ata hai.
******************************************
Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gaya
Goya baghair saans kai jeena sikha gaya.
***********************************************

Koshish k bawjaood bhi TU bhoolta nahi
Tere bagair kya karun kuch soojhta nahi
Hoti hai subha sham magr is k bawajod
Hai chand teri yaad ka jo doobta nahi
******************************************
Girti hui diwar ka hamdard hun lekin
Chrty hue suraj ki parastish nhi karta,
Hamdardi-e-ehbaab se darta hun ‘Mohsin’
Main zakhm to rakhta hun numaish nhi karta
*************************************************
Suno wafa ruswa nai karna
suno aisa nai krna.
main pehly hi akela hon
mujhy tanha nai krna.
bohat masroof ho jana to…socha nai krna.
Barosa bhe zarori hai magr sab ka nai krna.
Muqadar phir muqadar hai kabi dawa nai krna.
jo likha hai wo hona hai kabi shikwa nai krna.
meri takmel tum se hai mujhy adhora nai krna.
Haqeqat hai milan apna isy sapna nai krna.
humin tum yaad rehty ho humin bhola nai krna.
wafa Ruswa nai krna suno aisa nai krna.
suno aisa nai krna
********************************************
Jo Rehte Hain Dil Mein Wo Juda Nahi Hote !!
Kuch Ehsaas Lafzo Mein Bayaan Nahi Hote !!
Ek Hasrat Hai Unhe Manane Ki !!
Wo Itne Ache Hain Ke Kabhi Khafa Nahi Hote
*******************************************
Ae Zindagi Mujhe Se Ye Dagha Na Kar !!
Mein Us Ke Bina Jiyun Ye Dua Na Kar !!
Koi Daikhe Bhi Usy Tu Hoti Hai Jaan !!
Ae Hawa Tu Bhi Ab Usy Chua Na Kar
****************************************
Kabhi tou miley pehli
mulaqat ki terha
bigra hi rehta hy kyun
halaat ki terha
wo ek dost jo lagy
jaan say pyara
mujhy waqt tou deta hy
magar kheraat ki tarha
************************************************
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao
Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao
Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao
**************************************************
KHUDA Ek Bar Usy Mera Bana De !!
Kitna Chahta Hoon Usy Koi Bata De !!
Bohut Naz Hai Humhe Apni Mohabbat Per !!
Ho Jaye Wo Mera Aisa Mojza dikha De !!
Agar Wo Mera Naseeb Ban Nahi Sakta !!
Us Ke Kadmo ki Khak Mujhe Bana De !!
Her Pal dekhon Sirf Sapne Usi Ke !!
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De !!
***********************************************
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO
Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..
**************************************************
Jitna Tum Se Pyar Tha Mujh Ko !!
Tum Se Is qadar Ruswai Mili Hai !!
Mein Apna Dukh Ka Kese Madawa Karon !!
Mujh Ko Tu Her Qadam Pe Bewafai Mili Hai !!
Na Jane Duniya Ki Bheer Kis Liye Hai !!
Mujh Ko Her Pal Tanhai Mili Hai !!
Dil Ki Baat Mein Kis Se Karon !!
Is Jahan Se Tu Jag Hasnai Mili Hai !!
***************************************
Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.
Apni yadon se keho ki yun na sataya kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai.
******************************************
kyun bahanay hazaar kartay ho
saaf keh do kay piyar kartay ho
tum ko mujh say nahin hai chahat
kyun mera intezar kartay ho
woh jo dushman hain meri mohabat kay
un pay tum aitabar kartay ho
aur kuch main na chahoon ga
itna keh do bas piyar kartay ho
*************************************************
tere bina koi nahein iss jahan mein mera
khamoshiyaan hii khamoshiyaan tanhaeyoon ka baseira
aee janne wale sun lee to hii to hai piyaar mera
kaise jeoon ga tere bin itna to batlaoo muj ko
kabi nahein jaee ga dil see khayal tera

***************************************************
tere liye hii darakta hai yai dil mera
tere bina koi nahein iss jahan mein mera
khamoshiyaan hii khamoshiyaan tanhaeyoon ka baseira
aee janne wale sun lee to hii to hai piyaar mera
kaise jeoon ga tere bin itna to batlaoo muj ko
kabi nahein jaee ga dil see khayal tera
********************************************************
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gayi thi
Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gayi thi
Jaan deti thi meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se mera rukh morr gayi thi
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gayi thi
Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gayi thi..
************************************************
Shikayatain bhi thi usay to sirf meray khalus sa
Ajeb tha wo shaks meri adatain na samaj saka..
************************************************
Har jurm meri zaat sa mansoob hua ha mohsin
Kiya meray siwa shehar main masoom hain saray?

***********************************************
Dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata……
Ye raaz-e-mohhabat har ek ko bataya nahi jata……
Agar ehsaas ho tou mohabbat ko kar lo mehsoos ……
Ye woh jazba hai jo lufzon mein samjhaya nahi jata ……
Dosti kay liye mohabbat aur khuloos hai lazim ……
Har haath milanay walay ko dost samjha nahi jata …..
************************************************
Bohat kam hai log jo dil mein uthar jatay hain …..
Har rah chaltay ko apna banaya nahi jata ….
Koshish say badal jati hain taqderein khanam …..
Day kar ilzaam qismat ko dil ko behlaya nahi jata….
***********************************************
Tum bhi khafa ho log bhi bereham hain doston�..
Ab ho chala yakin ke bure hum hain doston;�
***********************************************
Us ko juda hue bhi zamana bahut huaa��.
Ab kyaa kahein ye qissa purana bahut huaa��..
Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dein ���
Is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa ���.
Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa���
Mana ki us se milnaa-milaanaa bahut huaa;���
**********************************************
Ye khwaab hai khushbuu hai ke jhonka hai ke pal hai �
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho ��.
Ik dard ka phailaa hua sehra hai ke main hun ��.
Ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho;
*****************************************************
Aj aik Waada bohat Yaad Aya
Bicher ker Jeena Merna Bohat Yaad Aya
Teri Palkon Pe Chamakty Howy Aansu
Apni Palkon pe rona bohat yaad aaya
kabhi Chat Pe Milna Raat Gaye Hamara
aaj din bher mujhe bohat yaad aya
Kabhi rooth jana tera younhi mujhse
kabhi mujhko mana-na bohat yaad aaya
Tera nazar jhuka k sherma k muskurana
aaj youn hi achanak bohat yaad aya
Intizar k lamhy wo judai k lamhy
Wo chup k rona aaj bohat yaad aya
*****************************************************
Zamany se suna tha k Muhabbat Har jati hai
Jo chahat Ik terfa ho wo chahat haar jati hai
Kahin per dua ka ik lafz hee asar ker jata hai
Kahin berson ki ibadat haar jati hai
Humko kitna b shikwa ho unki jafaoun ki..
per uske samny her ik shikayet haar jati hai
ek aarzu si hai usko bhool jayn hum
Per uski yaad aaty he yeh hasret haar jati hai
********************************************
Zaropori to nahi jeny k liye koi sahara ho
Zurori to nahi k hum jiske hain wo b hamara ho
Kuch khastuyan doob b to jaya kerti hain
zururi to nahi her khasti kay liye kinara ho
*****************************************
Jab dil kisi ko bhool na paye,
Ankhon se ansoo ruk na paye,
Yadon ki sham guzar na paye,
To yad karna is dil ko,
Jo bhool k bhi tum ko bhool na paye
****************************************
dil_e_umeed tora ha kisi ne.
sahara day k chora ha kisi ne.
na manzil ha na manzil ka nishan.
kahan pe la k chora ha kisi nay.
ma in sheesha garoo se pochta ho.
tota dil b joora ha kisi ne
*******************************************




Lakh Doori Ho Mgr Ehad Nibhate Rhna.
Jb B Barish Ho Mera Soog Mnate Rhna.
Tm Gay Ho To Sari Shaam Ye Adat Thehri.
Bs Kinare Pe Khare Hath Hilate Rhna.
Jane Is Dil Ko Ye Adab Keha Se Aye.
Us Ki Rahoo Me Nigahoo Ko Bichate Rhna.
1 Modat Se Ye Maamool Howa Hai Ab To.
Aap Hi Roothna Aap Hi Mnate rhna.
Tm Ko Maaloom He Farhat, Ye Pagal Pan He.
Door Jate Howe Logoo Ko Bulate Rhna
********************************************
Dil usi waqt sambhal jaye ga,
Dil ka haal wo pochain to sahi,
Us ki nafrat bhi muhabbat ho gi,
Meray baray main wo sochay to sahi,
Us k qadmon main bicha don ankhain,
Meri basti se wo guzray to sahi,
Us k sab jhoot such hi sahi,
Shart itni hai wo bolay to sahi
*******************************************
Yad aon to bas itni si inayat karna,
Apnay badlay howay lahjay ki wazahat karna,
Tum to chahat ka shahkar howa karte they,
Kis se sekha ulfat main milawat karna,
Hum sazaon k haqdar baney hain kab se?
Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna?
Teri furqat main ye ankhain ab tak nam hain,
Kabhi ana meray ashkon ki zyarat karna,
Dil main ab bhi hain pyar k dye roshan,
Dekh bholay nahi hum teri hasti ki ibadat karma
********************************************

kise ko hum say han shekway kise ko bay had shekayten han
humary hesay mein sirf apni safiyan han wazahtein han………
kadam kadam par badal rahay hein musafron ki talb k rastay
havayon jasi mohabatei han sadayon jasi rafaqten han………….
kise ka maqroz mein nahe par meray gerbaan pay hath sub k
koi mari chahton ka dushman kise ko darkar chahten han…….
tari judaye k kitnay souraj ofaq par dohbay mugar abi tak…….
halish ha senay mein pehlay din si laho mein wase he wehshten han
mein dosron ki kushi ki hater gubaar ban kar bekhar gaye hon
mugar kise nay ye haq na mana k mare b kuch zarortein han
********************************************************
phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko
Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko
*****************************************
Main zindagi se mayus nahi lekin,
Jab us ne mujh se pocha k ,
Tumharay nazdeek kya hai eham?
“Meri zindagi”
Ya
“Tumhari Zindagi”
Main ne kaha k
“Meri Zindagi”
Ye sun kar wo mujh se bohat door chala gye,
Yeh bhi na socha k
Wohi to hai,
“Meri Zindagi”
--------------------------------------------------------------------
Meri ankhon ke samandar may jalan kaise hai ,….
Ajj phir dil ko tarapne ki lagan kaise hai.. …
Ab kisi chat pe charaghoon ki katareen bhi nahi,…
Ab tere shehar ki galioon mein guthan kaise hai…,.,.,,…
Baraf ke roop mein dhal jayen ge sabhi rishte,…
Mujh se poocho ke mohabbat ki agan kaise hai…..
Mein tere vasl ki khuahish ko na marne doonga,….,.,
Mousam-e-hijir ke lehje mein thakan kais hai.. …
Raigzaroon mein jo banti rahi kantoon ki *Soorat,…
Us ki majboor si ankhoon mein kiran kaise hai
--------------------------------------------------------------------------

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay….
Andaaz badal lena,awaaz badal lena….
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena…..
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena….
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena….
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay…….
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena….
Awaaz agar do to katra k nikal jana….
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna ….
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena….
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
--------------------------------------------------
Mere Raat din main chupi hoi,
Mera din chupa kise raat main,
Mere zindge koi raaz hay,
koi raaz hay mere zaat main,
Main jahan kahin bhe bhatak gia,
Wahan girte girte sambhal gia,
Mujhe thokron se pata chala,
Mera haath hay kise k haat main
----------------------------------------------
kabhi khud bhi tu mere pass aa
meri bat sun mera sath de,
jo khalish hai dil se nikal kr
mujhe uljhnoo se nijat de…..
tujhe sochna mera mashgala
tujhe daikhna meri arzoo,
mujhe din de apnay khayal ka
mujhe apni soch ki rat de…..
main akiala bhtkoon kahan kahan,
ye safar buhat he taweel hai
meri zindagi mere sath chal
mere hath main apna hath de
----------------------------------------------------------
May apna aaj apna kal tumharay naam karta hoon.
May apni har ek sham tumharay naam karta hoon.
Barasta beegta mosam meri kamzori he lekin.
May ye sawan gata badal tumharay naam karta hoon
-------------------------------------------------------------------
Zindagi se sabhi ko mohabbat hai,
par zindagi kisiki mehboob nahi banti.
Tamanna leker jeete hain sab log,
magar har tamanna TAQDIR nahi banti
-------------------------------------------------------
Kash wo kabhi palkon pe sajaye mujhe,
Rothon kabhi mein to wo manaye mujhe,
Dil us ke yaad se ek pal bhe ghafil nahe,
Phir kaisay mumkin hay k wo bhool jaey mujhy

-----------------------------------------------
Kashte bhe nahe badle,
Darya bhe nahe badla,
Aur dobnay walon ka jazba bhe nahe badla,
Hy shoq-e-safar aisa ek umer se yaro,
Manzil bhe nahe paai aur rasta bhe nahe badla

------------------------------------------------------------
Jo tere Nazar se guzar jaya karte hain,
wo sitare aksar toot jaya karte hain,
Kuch log dard ko byan nahe karte,
bus chup chap bikhar jaya karte hain

---------------------------------------------------------
Wo jo milta hay bicharta hay bhula deta hay,
jane kis baat se Dil us ko Dua deta hay,
Wo mujhe pyar se rote main hansane wala,
Yad ata hay to hanste me rula deta hay

-----------------------------------------------------------
Wo rat ki khamoshi main
karta hai mujh se batain,
usko meri tanhai ka ehsas boht hai,
kuch is lye bhi us ne mujhey dard diye haih,
wo janta hai dard mujhey raas bohat hai
--------------------------------------------------------------
Us ne kaha tum main ab wo pehli si bat nahi.
main ne kaha zindagi main ab tera sath nahi,
Us ne kaha ab bhi kisi ki ankhon main dob jatay ho,
main ne kaha ab kisi ki ankh main wo bat nahi,
Us ne kaha kyon itna tot k chaha mujhey,
main ne kaha insan hon koi pathar zat nahi,
Us ne kaha kya main bewafa hon,
main ne kaha ab mujhey wafa ka talash nahi,
Us ne kaha bhol jao mujh ko,
Main ne kaha tum haqeeqat ho koi khawab nahi
-------------------------------------------------------------------
Muddat se the ksi se milne ke arzo,
Khuwashish-e-deed ko Dil mein daba diya,
Ksi ne de khabar k wo aayein ge raat ko,
Itna kiya charaghan k ghar tak jala diya

---------------------------------------------------------
Qariib maut kharii hai zaraa Thahar jaao
Qazaa se aaNkh larii hai zaraa Thahar jaao
Thakii thakii sii fazaayeN bujhe bujhe taare
Barii udaas gharii hai zaraa Thahar jaao
Nahiin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
Ye raat ham pe karii hai zaraa Thahar jaao
Abhii na jaao ki taaron kaa dil dharaktaa hai
Tamaam raat parii hai zaraa Thahar jaao
Phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokenge
Labon pe saaNs aDii hai zaraa Thahar jaao
Dam-e-firaaq men jii bhar ke tum ko dekh to luuN
Ye faisale kii gharii hai zaraa Thahar jaao
-------------------------------------------------------------------
KAL RAAT
CHAND
HU-BAHU
TUM JYSA THA
WOHI HUSAN
WOHI GHUROOR
AUR
WOHI DOORI
------------------------------------------------------------------
Kabhi Zindagi Ka Naam Hai Muhabbat
Kabhi Moat Ka Pegham Hai Muhabbat
Kabhi Muhabbat Say Milti Hai Khushi
Kabhi Ghum Ki Sham Hai Muhabbat
Kabhi Muhabbat Aansu Ki Barish Hai
Kabhi Hansi Ka Jaam Hai Muhabbat
Kabhi Hai Muhabbat Dil Ki Jalan
Kabhi Dil Ka Aaram Hai Muhabbat
Kabhi Muhabbat Hai Milan Ka Roop
Kabhi Tanhai Ki Tarha Be Naam Hai Muhabbat
Kabhi Muhabbat Hai Be – Naam Zindagi
Kabhi Zindagi Kehti Hai Mera Naam Hai Muhabbat
-------------------------------------------------------
zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai,,,
zakhm is dil ka zubaa pe aaya hai,,,
nahi rote the hum kanto ki chubhan se,,,
aur aaj phulo ki chubhan ne hame rulaya hai
----------------------------------------------------------
Yaadain hoti hain sataanay k liay,
Koi rooth jata hay phir maan janey k liay,
Mohabbat karna koi mushkil to nahe,
Bas jaan tak chale jati hay is ko nibhanay k liay
------------------------------------------------------------
Bicharty wqt us ny kha tha-
Na sawal krna na jawab mily ga-
muje bhol jana qrar mily ga—
Hm os muqam pr thy— N
a swal kia na jawb mila-
na bhol sky na qrar mila
-------------------------------------------------------
Ye zindagi bari ajeeb si,…
Kabhi gul zar si,… Kabhi bezar si,…
Kabhi khushi hamarey sath sath,.,.,..
Kabhi ghamo ki barsat si,…
Kabhi tufan main bhi hain raste,…
Kabhi manziloon ka pata nahi,…
Kabhi do qadam pe zindagi,…
Kabhi sadyon tuk intezar si,…
Kabhi har pal imtehan he,…
Kabhi bin mange inam he,…
Kabhi kuch nahi, kabhi sub kuch se,…
Ye zindagi bari ajeeb si
-----------------------------------------------------------------------------
ankho ko intezar ki aadat se ho gahee…………
yahnee khala e yaar ki aadat se ho gahee………………
ab doosra millay b to dil manta nahee…………
hum ko to os kay piyar ki aadat si ho gahee…………….
woh jhoot b kahay to osay mantay hain such……………
oos pe tp ehtibar ki aadat si ho gahee………….
khushiyan agar mileen to hum ne ghum pe waar dee………………….
ghaatay k karobar ki aadat si ho gahee
-----------------------------------------------------------------
Agar mari muhabat main na thi pakeezgi itni
tujhay tarq.e. taluq main ku mushkil bani itni
badal jao magar yah zahn main rakhna
kahin pachtawa bun na jaayay ham say bayrukhi itni
tujhay yun toot kay chaha wajood apna mita daala
khuda ko paa chukay hotay jo kartay bandagi itni
----------------------------------------------------------------------
Meri Aankhon Ke Jado Se Tum Na Wakif Ho Abhi !!
Mein Usy Pagal Kar Deta Hoon Jis Pe Mujhe Pyar Aa Jaye
-----------------------------------------------------------------
tu maseeha hai tu aa mujhe achaa kar de ,
reig-e-sehra hon mujhe darya kar de ,
ranjishain rabt-o-marasim me tu hoti hain magar ,
tujhe kiss ne kaha tha mujhay tanha kar de
-----------------------------------------------------------------
yun na mil mujh se khafa ho jese ,
sath chal aese jese mooj-e-saba ho jese ,
log yun dekh ke hanse dete hain
tu mujhe bhool gaya ho jese ,
ishq ko shirk ki had tak na bharha ,
yun na mil khuda ho jese ,
ab tu maut bhi aayey gi is naaz se
mujh pe ehsaan kiya ho jese ,
aese anjaan bane bhete ho tum ,
tum ko kuch pata bhina ho jese ,
hichkiyan rat ko aati hain raahi ,
tum ne phir yaad kiya ho jese ,
zindagi beet rahi hai yun he ,
ek bejurm saza ho jese
---------------------------------------------------------
hum yaad rahain tu theek warna bhula dena ,
ho koi khata tu humain saza dena ,
wese tu hain hum geele kaghaz ki manind ,
likha jayey tu theek warna jala dena
------------------------------------------------------
Kabhi Kisi Say Zikr-e-judai Mat Karna,
Is Dil Se Kabhi Ruswai Mat Karna,
Jab Dil Uth Jaye Hum Se TU Bata Dena,
Bina Bataye Bewafai Mat karma
-------------------------------------------------------------
Hum toot bhi jaty hain to charcha nahi karty
dukh dard bhi sehty hain tamasha nahi karty..!
Hum apny mafadaat ki takmil ki khatir
Har shakhs k jazbat say khela nahi karty
Hum ko koi gila hay to khud apny dil say hay..
Auron pay hum ilzam tarasha nahi karty…..!
Matlab parasti k jo aadi nahi hoty…..
Wo hath mila k kabhi chora nahi karty….!
Kuch is tarha k log bhi mil jaty hain aksar…..!
Jo Pyar karne ka kehety hain par NIBHAYA nahi kart
--------------------------------------------------------------------
Bheegi Palakain
AAnkhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat’te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti Ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta hoon
------------------------------------------------------
Rifaqaton Ke Silsilay Na Toot Jaaye Kahin,
Kabhi Kabhi Milnay Ka Silsilaa Rakhna.
Maana Ke Aur Log Bhi Hai Qareeb Teray,
Magar Meri Zaat Ko Auron Se Jooda Rakhna

-------------------------------------------------------------
kbhi hanstey hein
KBHI ROTEY HEIN
kbhi dil mein khuwab pirotey hein
KBHI MEHFIL MEHFIL PHIRTE HEIN
kbhi zaat mein tanha hote hein
KBHI CHUP KI MOHAR SAJATE HEIN
kbhi geet labo per hote hein
KBHI SUB KA DIL BEHLATE HEIN
kbhi khud mein tanha hote hein
KBHI SHAB BHAR JAGTE REHTE HEIN
kbhi lambi taan k sote hein
HUM NAZUK NAZUK DIL WALEY
BUS…..
KUCH AESE HE TO HOTE HEIN
------------------------------------------------------------------
Khafa Nahi Hai Magar Ada Ko Kya Kehiye
Pukarta Hoon Tu Wo Mur Ke Dekhta Bhi Nahi
Ye Kis Muqam Pe Tanhai Sonpte Ho Mujhe
Ke Ab Tu Tark-e-Taluq Ka Hosla Bhi Nahi
--------------------------------------------------------------
kabi chaho gay to chahat se bulaen gey tume,
dard e dil hota ha kia ye dikhaen ge tume,
muhabt hoti ha kia muhabt kar k dakh laina,
phir mare pas ana kuch or bataen ge tume,
kabi na aaen ankh me anso to aisa karna,
ek sham mare pas ana buht rulaen ge tume,
har pal raho gay bechain muhabt me,
khayal ban ker umer bhar yaad ainy gay tume
--------------------------------------------------------------
Sab say chupa kay dard jo wo muskura dea,
Us ke hansi nay aj to mujh ko rola de a,
Lehjay say uth rahe the dard ke dastan,
Cehra bata raha tha sab kuch Luta dea,
Awaz main tehraoo tha, ankhoo main nami the,
Aur Kah raha tha main nay sab kuch Bhoollaa dea
--------------------------------------------------------------------
Tu Bhi Kisi Ka Piyar Na Paey KHUDA Karey ,
Tujh Ko Tera Naseeb Rulaey KHUDA Karey.
Thu Jis Cheez Ko Chuo Le Apna Samaj Kar,
Who Bhi Pattar Ka Ban Jaey KHUDA Kare
----------------------------------------------------------------------
Mai na ek sapna dheka ha
Kissi ko apna dheka ha
Yadon mai uss ki khoya hon
Bra ghafil ho ka soya hon
Her pal bas mujhse kheta ha
Is dil mai koi rhata ha
Jis roz usko khoonga
Uss roz kasam sa ro’onga
Yaad to tab bhi aegi
Ankhon ko nam kar jae
Pr rone sa kiya hota hai
Kuch kehne se kia hota hai
Jo likha hai apni qismat men
Hr surat wohi to hota hai
-------------------------------------------------------
Kisi na kisi pe kisi ko aitbaar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyno se nahi hoti mohabbat sada,
Khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai
-------------------------------------------------------------
kaam ay na mushkil ma koi yeha
matlabi dost ha matlabi yar ha
is yeha ma nahi koi ahlay wefa
ay FANA is jehan say kinara kerain
--------------------------------------------------------------------
Jab sawan main tanha bheego gay
Jab angan khalee pao gay
Jab sahil say takrati lehron main
Apni tanhae main kho jao gay
Jab raat kay tanha daman main
Tum chaand ko adha pao gay
Jab khud say batain kartay kartay
Tum door kahin kho jao gay
Jab dil ki baat chupanay ko
Ham say nazar tum churao gay
“Main tum say mohabat karti hoon”
Har baar yay sunna chaho gay
In sab lamhon main jaan lena kay
Tum tum nahi “hum” ban jao gay
---------------------------------------------------
Agar saath do to apne zakhmoun ko see loon
Bebasi ke har lamhe ko ek ghoont mein pee loon
Pal bhar muskura ke to dekho
Shayad isi bahane do ghari aur jee loon
------------------------------------------------------------------
bohot kuch badal jata hai
tere aane k baad,
bohot kuch bichad jata hai
tere jane k baad,
wo samandar ki leherein,
wo reth k mehel,
bohot kuch beh jata hai
saahil se takra jane k baad,
wo baarish k moti,
wo taaron ki khwahish,
bohot kuch bikhar jata hai
khwab toot jane k baad,
wo teri parchaiyon se takrana,
wo saayon ka lehrana
bohot kuch mit jata hai andhera chaa jane k baad
------------------------------------------------------------------

247 comments:

  1. koi tum say pochay kon hu ma
    tum keh dana kuch khassa nahi
    ek dost ha kacha paka sa
    ek khwab ha ghoota sacha sa
    ek behana dil ko behlany ka
    acha sa
    javeen ka aysa sathi ha
    jo door na ho ker pass nahi
    jo aam na ho ker khass nahi
    koi tum say pochay kon hu ma
    tum keh dana kuch khass nahi

    ReplyDelete
  2. Mujhey zindagi ki doa na do,
    Meri zindagi se bani nahin,

    Koi zindagi pe kare yaqeen,
    Mera zindagi pe yaqeen nahin,

    Yeh safar bhi kesa safar hai ke,
    Main kabhi kahen to kabhi kahen,

    Mujhey jis sanam ki talash thi,
    Woh mila, magar mila nahin,

    Main woh bat hon jo bani nahin,
    Main woh rat hon jo kati nahin,

    Mujhey zindagi ki doa na do,
    Meri zindagi se bani nahin…………………….

    ReplyDelete
  3. Ana ki baat ha warna mohabat ab b baqi ha,
    usy meri mujay us ki zarorat ab b baqi ha,
    koi mushkil agr darpesh aye tou loat anaa qasam say,
    tumhary wasty dil mein aqedat ab b baqi ha,
    bala ki sarad mehri ha meri har baat mein lakin,
    meary senay mein chahat ki harart ab b baqi ha,
    yeh kesa keheil kehla ha kismat nay hamari,
    sar e manzil hon khara aur musaafat ab b baqi ha,

    ReplyDelete
  4. Suno!
    Zara jo door jaty ho,
    Tb ehsas hota hai,
    K baqi kuch nhi rehta,
    Suno!
    Mere jevan k angan main,
    Meri khushion k daman main,
    Tere bin kuch nhi rehta,
    Suno!
    Udasi chai rehti hai,
    Spne adhore se lgte hain,
    Din sadion se lgte hain,
    In ankhon ki jlti lo
    mdhm parne lgti hai,
    Umeden marne lgti hain,
    Tere hathon se mere hath,
    Achank choot jate hain,
    Mere arman rote hain,
    Tujhe awaz dete hain,
    Tujhe wapas bulate hain,
    Suno!tum lot aao na,
    SUNO TM LOT AAO NA

    ReplyDelete
  5. Kuch uss k dil mai lagawat zaroor thi warna
    Main hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay
    yeh zeher meray laho mein utar gaya kaisay
    kuch us k dil mein lagawat zaroor thi warna
    woh mera hath daba ker guzr gaya kaisay
    zaroor us ki tawajjo ki rehbari ho gi
    nashe mein tha to main apne hi ghar gaya kaisay
    jise bhulayee kayee saal ho gaye ”
    main aaj us ki gali say guzr gaya kaisay

    ReplyDelete
  6. Kabhi yad ao tu istarhan kabi gungunao tu is tarhan
    Mera dard phir se ghazal bane kabi dil dukhao tu is tarhan
    Meri dharkanain b laraz uthain kabi bhool jao tu is tarhan
    Na sisak sakain na bilak sakain kabhi chor jao tu is tarhan
    Na ujar sakain na sanwar sakaian kabhi yad ao tu is tarhan

    ReplyDelete
  7. Wo Kaisa Shakhs Hai Her Roz Saza Deta Hai !!
    Phir Hansta Hai Wo Itna Hansa Deta Hai !!
    Kabhi Jo Ro De Tu Muj Ko Bhi Rula Deta Hai !!
    Or Phir Her Ghum Ko Mujh Se Bhula Deta Hai !!
    Us Se Poochon Ke Bata Kis Se Muhabbat Hai Tumhen !!
    Naam Sargoshi Mein Mera Hi Bata Deta Hai !!
    Khud HiKehta Hai Na Duhrao Purani Yaaden !!
    Mein Na Duhraon Tu Phir Khud Hi Suna Deta Hai !!
    Khud Hi Likhta Hai Ke Jazbat Mein Halchal Na Karo !!
    Or Phir Khud Hi Nayi Aag Laga Deta Hai !

    ReplyDelete
  8. Ek Ajeeb Sa Manzar Nazar AAta Hai !!
    Her Ek Qatra Samandar Nazar Aata Hai !!
    Kahan Banaon Mein Makan Sheeshe Ka !!
    Mujhe Tu Her Ek Haath Mein Pathar Nazar Aata Hai !!

    ReplyDelete
  9. Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain !!
    To Khayalon Mein Bohut Door Nikal Jate Hain !!
    Ger Wafaon Mein Bohut Sadaqat Bhi Ho Shiddat Bhi !!
    Phir Tu Ehsas Se Pathar Bhi Pighal Jate Hain !!
    Us Ki Aankhon Ke Nashy Mein Hoon Jab Se Dooba !!
    Lar Khraty Hain Kadam Or Sambhal Jate Hain !!
    Bewafai Ka Mujhe Jab Bhi Khayal Aata Hai !!
    Ashk Rukhsar Per Aankhon Se Phisal Jate Hain !!
    Piyar Mein Ek Hi Mosam Hai Baharon Ka Zabi !!
    Log Mosam Ki Tarha Kese Badal Jate Hain !!

    ReplyDelete
  10. Apni Khamosh Zindagi Mein Bolana Mujh Ko !!
    Apne Haseen Khuwab Ki Tasver Banana Mujh Ko !!
    Mein Jo Puchoon Tumhara Haal_e_Dil !!
    Tu Apni Her Dharkan Ki Awaz Sunana Mujh Ko !!
    Mein jo Kabhi Rooth Jaon Tum Se Agar !!
    Tu Bohut Piyar Se Manana Mujh Ko !!
    Jo Kabhi Ho Dil Mein Hasrat Tumhari Koi !!
    Be Jhijak Apni Her Hasrat Batana Mujh Ko !!
    Jo Ho Jao Zindagi Mein Tanha Kisi Pal !!
    Apni Piyar Bhari Awaz Se Bolana Mujh Ko !!

    ReplyDelete
  11. Kabhi Khud Bhi Mere Pass Aa !!
    Meri Baat Sun Mera Sath De !!
    Jo Khalish Hai Dil Se Nikal Kar !!
    Mujhe Uljhano Se Nijat De !!
    Tujhe Sochna Mera Mashgala !!
    Tujhe Dekhna Meri Arzu !!
    Mujhe Din De Apne Khayal Ka !!
    Mujhe Apne Qurb Ki her Raat De !!
    Mein Akela Chalon Kahan Kahan !!
    Ye safar Bohut Taveel Hai !!
    Meri Zindagi Mere Sath Chal !!
    Mere Hathon Mein Apna Hath De !!
    Mein Bohut Dino Se Udas Hoon !!
    Mujhe Koi Sham Udhar De !!

    ReplyDelete
  12. Dil ki dunya main tilismaat bohat hotay hain,
    bay khayali main kamalaat hotay hain,
    os per alfaaz ka jadoo bhi asar kar na saka,
    warna doo piyar k kalmaat bohat hotay hain,
    marnay walon ka giraybaan nahi pakra jata,
    zinda logon se sawalaat bohat hotay hain,

    ReplyDelete
  13. HAR EK CHEHRE PE DIL KO GUMAAN USKA THA
    BASA NA KOI DIL MEIN YEH KHALI MAKAN USKA THA
    TAMAM DUKH MERI ANKHON SE BUJH GAYE LEKIN
    JO NA MIT SAKA WOH NISHAN USKA THA

    ReplyDelete
  14. KHAWAB ANKHON MEIN PARONEY KI IJAZAT DE DE
    AY SHAB-E-GHAM MUJHE SONEY KI IJAZAT DE DE
    YA SALIQAA SE NIBHA RASM-E-MOHABBAT MUJHSE
    YA KISI AUR KA HONEY KI IJAZAT DE DE

    ReplyDelete
  15. Wo Apne Faidy Ki Khatir Phir aa Mile Hum Se !!
    Hum Nadan Thy Samjhe Ke Duaon Ka Jawab Aaya !!

    ReplyDelete
  16. Be Khabar Dil Se Wo Bhi Mein Bhi Nahi !!
    Magar Baat Dil Ki Manta Wo Bhi Nahi Mein Bhi Nahi !!
    Dekhen Kia Hota Hai Anjam Ke Dono Hain Shisha Mizaj !!
    Toot Ke Jurna Janta Wo Bhi Nahi Mein Bhi Nahi !!

    ReplyDelete
  17. kaise bhi sahi pyaar nibhaate hee rahe hain !
    hum dhoka doston se khaate hee rahe hain !

    tum chhod gaye mujhko to tajjub nahi hua ,
    mujhko to log aksar chhod jaate rahe hain !

    duniya ne itne gum diye hisab kya kare,
    or hum hain kee duniya ko hasaate hee rahe hain !

    lahro ne naseeb banke toda harek baar ,
    hum fir bhi ret ke ghar banaate hee rahe hain !

    aaye wo jab bhi mujhko uljha gaye hur baar ,
    fir der taq hum khud ko suljhate rahe hain………………….!!!!

    ReplyDelete
  18. Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karate ho
    Aur phir ankh churaate ho ye kya karate ho

    Bad mere koi mujh sa na mile ga tum ko
    Khak mein kis ko milate ho ye kya karate ho

    Chheente pani ke na lo nind bhari aaankhoun par
    Sote fitne ko jagate ho ye kya karate ho

    Ham to dete nahin kya ye bhi zabardasti hai
    Chheen kar dil liye jate ho ye kya karate ho

    Hon na jaye kahin daman ka churana mushkil
    Mujh ko divana banate ho ye kya karate ho……..

    ReplyDelete
  19. usey barishon ne chura lia ke wo badlon ka makeen tha
    kabhi mur ke yeh bhi to dekhta ke mera wajood zameen tha

    wo hi ek sach tha uske baad sari tuhmatein jhoot hein
    mere dil ko pura yaqeen hey wo muhabbaton ka ameen tha

    usey shoq tha ke kisi jazire pe uske naam ka phool ho
    mujhe pyar karna sikha gaya mera dost kitna zaheen tha

    kabhi sahilon pe phiren ge to tumhein sippiyan hi bataein gi
    meri ankh mein jo simat gaya wohi ashk sabse haseen tha

    ReplyDelete
  20. Wo Jazboon Ki Tijarat Thi…. Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….
    Usy Hansny Ki Aadat Thi…. Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….

    Mujhy Ys Nay Kaha Aao Nai Dunya Basaty Hein…
    Usy Sojhi Shararat Thi…Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….

    Hamesha Us Ki Aankhoon Mein Dhanak Say Rung Hoty Thy…
    Ye Us Ki Aam Halat Thi ……Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….

    Wo Mere Pass Bethi Dair Tak Ghazlien Meri Sunti…
    Usy Khud Say Mohabbat Thi …Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….

    Mere Kandhy Pay Sir Rakh Kar Kahien Par Khoo Gai Thi Wo…
    Ye Ek Waqti Inayat Thi……… Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….

    Mujhy Wo Dekh Kar Aksar Nighahien Phair Leti Thi…
    Ye Dar-Parda Haqarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha….

    ReplyDelete
  21. tum bin jiya jay kesy
    kesy jiya jay tum bin
    sadiyon sy lambi hain raatain
    sadiyon sy lamby hoy din
    aajao lot kr tum ye dil keh raha hy

    phir shaam-e- tanhai jagi
    phir yaad tum aa rahy ho
    phir jaan nikalny lagi hy
    phir mujhy ko tarpa rahy ho
    aajao lot kr tum ye dil keh raha hy

    kia kia na socha tha hum ny
    kia kia na armaan jagay
    is dil sy toofan nikalty hain
    tum bin to jeety na marty hain
    aajao lot kr tum ye dil keh raha hy

    tum bin jiya jay kesy
    kesyyyyy jia jay tum bin.

    ReplyDelete
  22. Mairay Temardaroon se
    Maseeha Jab yeah keh dien gay
    Dawa taseer kho bethi hai
    Dua ka Waqat Aa puhncha hai
    yeah bemari bahana thi
    Qaza ka Waqat Aa puhncha
    To kia tum itny behis ho ?
    Yaqeen is per na laoo gi
    To kia tum itny Zalim ho ?
    Mujhe Milnay na Aao Gi ?????

    ReplyDelete
  23. Kabhee Kabhee in habs bhari raton main

    Jab

    Sab Awazain so jatee hain

    Aadhee neend ki ghayal madhoshi main

    Ek Khwab anokha jaagta hai…..!

    May daikhta hoon

    Gard ki is chadar say udhar

    Jo merey us kay beech tani hai

    WOH bhee tanha jaag raha hai…

    ReplyDelete
  24. Hain Ab Shab-e-Firaq Kay Uljhay Say Rastay
    Yeh Khoon Ristay Paa Aur teray Ghar Kay Rastay

    Socha to hay Bohat kay Kahin Aur ko Chaloon
    Her Rasta Chala Hay Teray Ghar Kay rastay

    Majnoon sa chhekhta hoon main teri gali main aaj
    Deedar ki hay Chah kisi dar kay rastay

    Acha hua kay sung ki aadat se par gai
    Ab band ho gaye hain saray dar kay rastay

    Dekhi hay uski ankhon man main nay nami Nadeem
    Daman talak to pohncha chashm-e-tar kay rastay

    ReplyDelete
  25. Suno aye Dost!
    Kabhi Udaas hojao toh
    Kabhi tanhayi ki raatain
    Tumhain ziada sataein toh
    Kabhi titli na bole toh
    Aur jugnoo lout jaye toh
    Kabhi jab dil bhi bhar jaye
    Koi jab sunn na paye to
    Agar sab dost sathi bhi
    Jo tum se rooth jaayein toh
    Kabhi jab khud se lar lar kar
    Thakan se choor ho jao
    Kabhi chahte huye bhi khud akele
    Ro na paao toh
    Apni aankhon ko band karna
    Mujhe aawaz de dena
    Aur phir mere tasawwur se
    Jo chaho batein keh dena
    Meray kaandhe pe sir rakh kar
    Tum jitna chaho ro lena
    Phir khud main jab loat jao toh
    Us he duniya chale jana
    Magar bas itna kehna hai
    Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
    Hamein dil se pukaro gay …….
    Hamein tum saath pao gay

    ReplyDelete
  26. Phir aj koi ghazal tere naam na ho jaye
    ajj kahi likhtay likhtay sham na ho jaye

    kar raha hu intazar tere izhaar-e-muhabbat ka
    isi intazar mai kahi zindagi tamam na ho jaye

    nahi leta tera naam sar-e-aam is darr se
    Kahi naam tera Badnaam na ho jaye

    Mangta hu dua jab bhi tu yaad ati hai
    ke Judai mere pyar ka anjaam na ho jaye!!!

    Sochta hu Darta hu Aksar Tanhai mai
    kahi us ke Dil mai kisi Aur ka Maqaam na ho jaye

    ReplyDelete
  27. Beech derya mera haath choor gaya woh,
    Meri zindagi ka sahara, Mera saath choor gaya woh,

    Meri nadaanioon peh iss qadar hansnay wala
    Roota mujhay ik shaam choor gaya woh

    Meeri aankhoon ki chamak cheen li uss nay,
    mery khwaboon ko weeran choor gaya woh

    In laboon ki muskurahatain samait ker saari,
    Ik sada, Ik naam choor gaya woh

    ik baar milay mujhko tu main betlaoon
    bikhri kirchiyaan sar-e-aam choor gaya woh.

    ReplyDelete
  28. Gile kaghaz ki tarha zindigi apni
    koi likhta bi nai koi jalata be nai
    is qadar akely ho gai hain hum
    koi stata be nai koi manata b nai

    ReplyDelete
  29. nazar indaz kar ny ke saza dyna thee thuj ko
    tery dil main utar jana zaroori hogaya tha

    ReplyDelete
  30. yoon umeed dilate hain ye zamane wale
    kab palat te hain bhala chor k jane wale
    un se aati hai tere lams ki khhushbo ab tak
    khat nikale hoy betha hoon purane wale
    tu kabhi dekh un ki shaboon me aa ker
    kitna rote hain zamane ko hansane wale

    ReplyDelete
  31. ghamo se yaari bhi thi himat bahal rakhte the
    zara zara si qsaq bhi sambhal rakhte the
    ajab tarz k shiat pasand the hum bhi
    khushi khushi me kai ghum bhi pal rakhte the

    ReplyDelete
  32. umeed ke kashti ko dboya nhi karte
    sahil agar door ho to roya nhi karte
    rakhte hain jo DIL mein tarap kise ki
    wo log to ratoon ko soya nhi karte

    ReplyDelete
  33. Naraz kiu hoty ho chaly jaty hen tri mehfil sy FARAZ
    Apny tuty hoay DIL k tukry to utha leny do

    ReplyDelete
  34. wo ye samagta hy k main her chehray ka talabgar hoon FARAZ
    main dekhta sabhi ko hoon bus uski talash main

    ReplyDelete
  35. Har Dil mae DARD chupa hota hae
    Bayan karny ka Andaz juda hota hae
    Kuch loog Aankhoon se Dard baha dete hain
    or kisi ki Hansi mae Dard chupa hota hae

    ReplyDelete
  36. Tamana chand ki karta hoon kyun tarikh ratoon main
    Meri jab aankh ko ashkoun k tare mil hi jate hain

    ReplyDelete
  37. Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
    Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.

    Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
    Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

    Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
    aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

    Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
    aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

    Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
    aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya

    ReplyDelete
  38. dost ban kar bhi nahin saath nibhan-e-valaa
    vahi andaaz hai zalim kaa zaman-e-valaa

    ab ise log samajhate hain giraftar mera
    saKht nadiim hai mujhe daam mein lan-e-valaa

    kya kahen kitane marasim the hamare is se
    vo jo ik shaKhs hai munh pher ke jan-e-valaa

    tere hote hue aa jaati thi saari duniya
    aaj tanha hun to koi nahin aan-e-valaa

    muntazir kis kaa huN Tuutii hui dahaliiz pe main
    kaun aayega yahan kaun hai aan-e-valaa

    main ne dekha hai baharon mein chaman ko jalate
    hai koi Khvab ki tabir batan-e-valaa

    ReplyDelete
  39. Koi aata hai yaad bohat sone se pehle…
    Jo cheen leta hai ansu mere rone se pehle…
    Phir rehta hai raat bhar wo esey samne…
    Mai aksar chal parta hun uska hath thaamne…
    Ab neend b aay to mai sona nahi chahta…
    kisi qeemat pey b mai usko khona nahi chahta…
    ho jaey wo kash mera muje khone se pehle….
    Jo aata hai yaad bohat soney se pehle…!!!

    ReplyDelete
  40. Agar Koi Puchay Tum Say..
    Haal Ehwal Kaisay Hein?
    Kaisee Guzar Rahi Hai?
    Faqat Itna Kehna..
    Suno..
    Zindagi Mein Gham Hein..
    Gham Mein Mazah Hai..
    Aur..
    Mein Mazay Mein Hon..!!

    ReplyDelete
  41. Mohabbat ka smr milta nhi hy
    Ye sikka ub yahan chlta nhi hy..

    Hmein kya jo sukhn duniya mein goonja
    Jisy sunna tha wo sunta nhi hy..

    Hm el e dil sr bazaar e duniya
    Khdey hyn raasta milta nhi hy..

    Sfr jaari agr hy ‘ Rehnumao!
    To phir kyun faasla ght’ta nhi hy..

    Tum apny baadbaan kholo na kholo
    Smndr to kbhi bhi rukta nhi hy..

    Seher sey shaam honey ko agai hy
    Koi drd aashna milta nhi hy..

    Mera dil to yoon hy qsr e jahan mein
    Wo pthr jo kaheen lgta nhi hy..

    Zmana aap hi bdly to bdly
    Kisi ka zor to chlta nhi hy..

    Nhi AMJAD koi qeemt wafaa ki
    Ye sauda ub yahan bikta nhi hy…………….*

    ReplyDelete
  42. logon ny bohat hum sy kaha
    piyar na karna
    betabi-e-dil ka kabhi iqraar na karna
    wo samny jo aiyen unhain kuch na batana
    dil main chuppy jazbat ka izhar na karna
    ho jao gy tannha bhari mehfil main
    khud sy bhi barh k us py aitbar na karna
    toot k bikhar jao gay is rah-ulfat main
    kabhi wafa k liy un takraar na krna
    tum jaan sy jao gy youn kr k bharosa
    mehboob k wadey pr intezar na karnaaa

    ReplyDelete
  43. Shaame Furqat Dhaley Hum Nahi Chahtey,
    Ghum Sey Fursat Miley Hum Nahi Chahtey,

    Phir Naya Waar Sahney Ko Tayar Hain,
    Tu Parishan Rahey Hum Nahi Chahtey ,

    Aaj Ansoo Bahaney Sey Mat Roki’ey,
    Aaj Barish Thamey Hum Nahi Chahtey,

    Hum Terey Baad Ujrey Howey Theek Hain ,
    Ab Kaheen Dil Lagey Hum Nahi Chahtey ,

    Terey Pekar Ko Hum Dakhtey Hi Rahein,
    Tu Nazar Sey Hatey Hum Nahi Chahtey ,

    Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor ,
    Ghum Ka Darya Rukey Hum Nahi Chahtey ,

    ReplyDelete
  44. Qehar He Mout He Qaza He IshQ
    Sach To Yeh He K Buri Bala He IshQ

    Asar-e-Gham Zara Use Bata Dena
    Woh Bohat Puchte The Kia He IshQ

    Afat-e-Jan He Koyi Parda Nashin
    Mere Dil Men A Chupa He IshQ

    Ham Ko Tarjeh Tum Pe He YaNi
    Dil Raha Husn-o-Jan Raha IshQ

    Dekh Halat Meri Kahin Kafir
    Nam Dozakh Ka Keyon Dhara He IshQ

    Dekhiye Kis Jaga Dubo De Ga
    Meri Kashti Ka Na-KhuDa He IshQ

    Ap Mujh Se Nibhayen Ge Sach He
    Ba-Wafa Husn Or Be-Wafa He IshQ

    QaisS-o-FarhaaD-o-AmaQ -o- “Momin”
    Mar Gaye Sabhi Kiya VaBa He IshQ..!!

    ReplyDelete
  45. Iss baat ka malal hai , shikwa nahi mujhey
    Merey qareeb reh ke wo samjha nahi mujhey
    Achha nahi ke main ussay bewafa kahoon
    Uss ne tu mohabbat se bhi dekha nahi mujhe
    Jysse main mil gaya tha ussay rah mein para
    Pathar tha ke heera kabhi parkha nahi mujhey
    Tashna lab-o-dehen tha , kitni thi meri piyaas
    Kya mera mudda’a thaa! jaana nahi mujhe
    Khuo ker meri talash mein palta nahi kabhi
    Ya uss ne jaan boojh ker payaa nahi mujhe!!

    ReplyDelete
  46. yeh janta hoon k woh muqadar main nain apnay
    bus apni kismat ko satanay ka maza aata hai……

    ReplyDelete
  47. Ishq sehra hai k darya kabi souchy Wo B,
    Us sey kya hai Mera nata kabi souchy Wo B,

    Haan Main tanha hoon yeh iqrar b kar laeta hoon,
    Khud B kitni Wo Tanha hai kabi souchy Wo B,

    Yeh alag baat jataya nahi Maine usko,
    “Warna kitna Usay Chaha” kabi souchy Wo B

    Usay “Awaaz” likha “Chand” likha “Phool” likha
    Maine kya kya Usay likha kabi souchy Wo B

    Mutmaeen hon Usay lafzoon ki harart dey kr
    Maine kitna Usay socha kabi souchy Wo B…?

    ReplyDelete
  48. Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
    Jaate hue rota woh mujhe choor gaya tha

    Armaano ki Duniya ke anmol se sapne
    pal main woh mere saamne sab tor gaya tha

    Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
    Besabab Duniya se meri rukh mor gaya tha

    Dinn ki tanhayi ka gham, raaton ki udasi hamraah
    Saare ghamon se rishta mera jod gaya tha

    ReplyDelete
  49. Na sawaal sood-o-ziyaaN ka hey, wuh kiya jo mujhko mila nahiN
    merey humsafar tu yaqeen kar , mujhey tujhsey koii gila nahiN
    merii jaaN na koi fikr kar, mujhey manziloN ki talab nahiN
    hoN wuh reh-guzar jo ujaaR hey, kabhi jis pe koi chalaa nahiN
    kabhii raastey kabhi manzileiN, kabhi dooriyaaN kabhi qurbateiN
    heiN raaah-e-hayaat k silsiley, teri iss meiN koi khataa nahiN
    k haraa rahey tera nakhl-e-jaaN, terey har qadam pe bahaar ho
    yehii wird hey mera raat din,merey lab pe koi dua nahiN
    heiN terey karam ki hi baarisheiN sadaa raheeN merey haal pe
    karuuN tujhsey koi gilaa kabhi, ye muhabbatoN ka silaa nahiN

    ReplyDelete
  50. Kisy ki Khatir Mohabbat ki inteha kar do.
    Par itna bhi nahy k usy Khuda kar do.
    Magar chaho kisy ko toot kar itna.
    K apni hi wafon sy usy bewafa kar do.

    ReplyDelete
  51. Gham-e-zindagi teri raah mein
    shab-e-aarzo teri chaah mein
    jo ujar gaya woh basa nahin
    jo bichar gaya woh mila nahin
    jo dil-o-nazar ka suroor tha
    mere paas reh ke bhi door tha
    wohi ek ghulaab umeed ka
    meri shakh-jaan pe khila nahin

    ReplyDelete
  52. Dil Nahi Chahta Mera Hansne Ko Israar Na Kar
    Aansoo Bhi Toone Diye Chahe To Iqraar Na Kar

    Ab To Dil Chahta Hai Din Raat Andhero Me Rahu
    Roshni Jhoonth Ki Dekar Mujhe Bezaar Na Kar

    Ujry Ujry Se Manzar Ko Kaha Tak Dekhu
    Neend Aankho Mein Bhari Hai Mujhe Bedaar Na Kar

    Kaun Baitha Hai Meri Raah Take Yaad Kare
    Jaake Ab Kiss Se Kahu Mera Intezaar Na Kar

    Saans Ka Boojh Uthaaoo Ya Usse Samjhaaoo
    Zinda Rehne Ki Dua De Kar Sharam Sar Na Kar…..

    ReplyDelete
  53. WOH ROYE TO BAHUT PAR MUJSE MUH MOR KAR ROYE
    KOI MAJBURI HOGI JO DIL TOR KE ROYE
    MERE SAMNE KAR DIYE MERI TASVIR KE TUKRE
    PATA LAGA MERE PEECHE WO UNHE JOR KAR ROYE

    ReplyDelete
  54. tum pocho or ham na batain
    ab aise to haalat nahi

    bas aik zara sa dil toota hai
    or to koi baat nahi

    kis ko khabar thi sanwale badal
    bin barse ur jatey hain

    sawan aya tha per shayad
    apni qismat mai barsaat nahi

    mere ghamgeen honey per
    ahbaab sabhi hain herat mai

    jese pathar hon mai
    mere koi jazbaat nahi

    gham k andhere mai tujhko
    apna sath kio manoo

    tu to phir tuu hai
    mera to saya bhi mere sath nahi………

    ReplyDelete
  55. Sukoon-e-dil ke liye main kahan kahan na gya
    Ye dil ke sada teri anjuman main raha.

    ReplyDelete
  56. Yaad rakkho to dil k paas hain hum…
    Bhool jaao to faaslay hain bohot…!

    ReplyDelete
  57. Ab jafa se bhi hain mahroom Allah Allha
    Iss qadar dushman arbab-e-wafa ho jaana
    ******************** ********
    Aazaad reh hoon, maslak hai meraa sulh-e-kul
    Hargiz kabhi kisi se adaavat nahin mujhe
    ******************** ********
    Surma-e-muft nazar hoon meri qeemat ye hai
    Rahey chashm-e-kharidaar pe ahsaan mera
    ******************** **********
    Ghalib na kar huzoor mein tu baar baar arz
    Zahir hai tera haal sab un per kahey bagha

    ReplyDelete
  58. main pa saka na kabhi is khalish se chhutkara
    vo mujhase jeet bhi sakta tha jane kyon hara

    baras ke khul gaye aansoo nikhar gaee hai fiza
    chamak raha hai sare-sham dard ka tara

    kisi ki aankh se tapkaa tha ik amaanat hai
    miri hatheli pe rakkha hua ye angaara

    jo par samete to ik shaakh bhi nahin paaee
    khule the par to mira aasman tha sara

    vo saanp chhor de dasna ye main bhi kahta hoon
    magar na chhorenge log usko gar na phunkara

    ReplyDelete
  59. Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
    Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
    Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
    Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
    Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
    Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
    Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
    Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
    Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
    Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

    ReplyDelete
  60. Aisa Nahi K SHAKHS Acha Nahi Hai Wo …
    Jaisa Main Ne Socha Tha …
    Waisa Nahi Hai Wo …
    TakhleeQ asman pe Wo mere liye hua …
    Mana K is ZAMEEN Pe MERA Nahi Hai Wo

    ReplyDelete
  61. Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay,
    hamin Ab Khud Ujarna Aa Gia Hay,
    kisi Ko Baywafa Kehtay Nahi Hum,
    hamin Bhi Ab Badalna Aa Gia Hay,
    kisi Ki Yad Main Rotay Nahi Hain,
    hamin Chupchaap Jalna Aa Gia Hay,
    gulaboon Ko Tum Apnay Pass Rakho,
    hamin Kaanton Pay chalna Aa gia Hay.

    ReplyDelete
  62. Aaj rutha huwa aik dost bohat yaad aya,
    acha guzra huwa waqt bohat yaad aya.

    meri aankho k aik askh pay ronay wala,
    aaj jub aankh ye roi tu bohat yaad aaya,

    Jo mery dard ko senay main chupa leta tha,
    aaj jub durd huwa mujh ko tu bohat yaad aaya.

    Jo meri ankhon main kajal ki tarah rehta tha,
    aaj kajal jo lagaya tu buhat yaad aaya.

    Jo mery dil k tha qareb faqat us ko he,
    aj jub dil nay bhulaya tu bohat yaad aaya

    ReplyDelete
  63. yun hi umeed dilatay hain zamanay walay
    kab palat tay hain bhala chor ke janay walay

    tu kabhi dekh jhulastay huay sehra main darakht
    kaisay jaltay hain wafaaon ko nibhanay walay

    in se aati hai tere lamas ki khushboo ab bhi
    khat nikalay huay bhaitha hoon puranay walay

    aa kabhi dekh zara inkii shabon main aakar
    kitna rotay hain zamany ko hansanay walay

    kuch to aankhon ki zubanii bhi kahe jatay hain
    moon se hotay nahi sab raaz batanay walay

    aaj baizaar hai sitara hai na jugnoo koi
    rabtay khatam huay saray un se milanay walay

    ReplyDelete
  64. Harf Aanay Na Dia Humne Wafaon Pe Koi,
    Seh Gaye Dil Pe Hr Lafz Ki Gehrai Ko,
    Ek Nazr Dekh Mere
    Zabt-E-Mohabat Ki Tarf,
    Humne Dil De k Kharida
    Gham-E-Tanhai Ko

    ReplyDelete
  65. Tooti Hay Meri Neend Magar,
    Tum Ko Iss Se Kya?
    Bajtay Rahein Hawaon Se Dar,
    Tum Ko Iss Se Kya?

    Tum Mouj Mouj Misl e Saba Ghoomtay Raho
    Kat Jayein Meri Soch k Par,
    Tum Ko Iss Se Kya?

    Auroon Ka Hath Thamo Unhein Rasta Dikhao
    Main Bhool Jaon Apna Hi Ghar,
    Tum Ko Iss Se Kya?

    Abar e Guraiz Pa Ko Barasny Se Kya Gharz?
    Seepi Mein Ban Na Paye Ghar,
    Tum Ko Iss Se Kya?

    Le Jayein Mujh Ko Maal e Ghanimat k Sath Addo
    Tum Ne To Daal Di Hay Sipar,
    Tum Ko Iss Se Kya?

    Tum Ne To Thak k Dasht Mein Khaimey Laga Liye
    Tanha Katay Kisi Ka Safar,
    Tum Ko Iss Se Kya…??

    ReplyDelete
  66. Kaisay kahoon ki apna bana lo mughe
    bahoun mein apni chupa lo mughe
    Bin tumharey ek pal bhi ab katta nahin
    Tum aa ker mugh say chura lo mughe
    Zindagi to woh hai sang tumharey jo guzrey
    Dunya ke gamoun se ab chura lou mughe
    Meri sab se gehri khwahish ho puri
    Tum agar pass apnay bula lo mughe
    Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai
    Tumhara hoon mein to sambhalo mujhey
    Na jane phir kaisay guzrey gi zindagani
    Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

    ReplyDelete
  67. Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain
    dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain

    main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
    parhna chahon tu sabhi harf mukar jate hain

    dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay
    kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain

    umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
    akhrish waqt tu saaray hi guzar jate hain

    ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
    chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain

    ReplyDelete
  68. TERA MILNA KUSHI KE BAT SAHI
    TUJ SAY MIL KER UDASS REHTA HU

    ReplyDelete
  69. Main Dil Par Jabar Karoon Ga Tujhe Bhula Doon ga…..
    Maroonga Khud Bhi Tujhe Bhi KAri Saza Doon Ga…

    isi Khayal Main Guzri Hai Sham Dard Aksar……
    Ke Dard Hadh Se Barhe Ga To Muskara Doon Ga….

    Meri Nigah_E_ShOq Se Kaisay Nihan The Tum…
    Hairat Se sOchta Hoon Jane Kahan The Tum..

    Asmaan Ki Surat Hai Gir Parega Kabhi…
    Zameen Hoon Main bhi Magar Tujhe Asra Doon Ga…

    BArha Rahi Hai Mere Dukh Nishaniaan Teri…..
    Main Tere Khat Tere Tasweer Tak Jala Doon Ga…

    ReplyDelete
  70. Siyaah hijar gaya zard intezaar gaye
    Kisi ka dard gaya dard K hissaar gaye

    Udaas raat khizaan hum safar safar gumnaam
    Tere khyaal k mosam humain Tou maar gaye

    Na Jaan bharakti haii apni na rakh hotay hain
    Humain yeh kaisi museebat main tum utaar gaye

    Ajeeb dushman-E-Jaan tha k Bin laraye jeeta
    Ajeeb jang thi hum jis main haar haar gaye

    Bohat he thori see muhlat mili mohabat ki
    Hum apna aap jatay jatay magar waar gaye

    Kisi k bhaije hwea aa gaye thay dunya main
    Kisi se mangi hoi zindagii guzaar gaye

    Na chaand atka kisi ja na Badliaan ulljhen
    Hum us ki raat k aangan main baar baar gaye……………. ….!!

    ReplyDelete
  71. mühäbbät mäïn mäïnë kÿä küċh nhï lütä dïÿä,
    ünkö päsänd thï röshnï ör hämnë khüd kö jälä dïÿä.

    ReplyDelete
  72. Wo Tera Rothna Mujhse

    Mera TujhKo Mana Lena

    Muhabat Ki Nishani Hai
    Galay Mujko Laga Lena

    Muhbbat Jis Se Hoti Hai
    Usi Pe Maan Hota Hai

    Kabi Me Roth Jaon To
    Muje Tum Bi Mana Lena

    Anna Se Dor Hi Rkhna K
    Ye Sab Kuch Mita Degi

    Anna K Khol Se Khud Ko
    Har Surat Bacha Lena

    Muhbat K Samandar Me Kabi Tofan B Uthta Hai

    Is Tofan Me
    Muje Kashti Bana Lena

    Agar Dubey Gey Hum Dono
    To aik hi Sath Dubein Gay

    Mera Tum Se Ye Wada Hay Magar Tum B Nibha Lena..

    ReplyDelete
  73. Koi Hasrat Bhi Nahi , Koi Tamanna Bhi Nahi
    Dil Wo Aansoo Jo Kisi Aankh Say Chalka Bhi Nahi

    Rooth Ke Baith Gaye Himmat Dushwaar Pasand
    Rah May Ab Koi Jalta Hua Sehra Bhi Nahi

    Agay Kuch Log Hamein Dekh Ke Hans Dete Thay
    Ab Yeh Aalam Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi

    Dard, Wo Agg Kay Bujhti Nahi , Jalti Bhi Nahi
    Yaad, Wo Zakham Ke Bharta Nahi , Rishta Bhi Nahi

    Baad-baan Khool Ke Baithe Hain Safeenoo Walay
    Paar Uternay Ke Liye Halka Sa Jhoonka Bhi Nahi

    ReplyDelete
  74. DUKHOON NE BANT LIA HAI TUMHAREY BAAD HUMAIN
    TUMRAHEY HATH MAI REHTAY TU KITNA ACHA THA”

    ReplyDelete
  75. Apana Gam bhul gaye teri jafa bhul gaye,
    Ham tou har baat muhabbat k siva bhul gaye

    ReplyDelete
  76. Yunhi ise log Muhabbat samjh bethay hain FARAZ……
    Wo Shakhs mujhay jan say pyara hay or BAS…!!

    ReplyDelete
  77. ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!
    Subah wo neend se jagay to larnay aye Sagar

    k tum kon hotay ho meray khawbon may anay walay?
    ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!

    ReplyDelete
  78. Ham Har Roz Udaas Hote Hain
    Aur Sham Guzar Jati He

    Kisi Roz Sham Udaas Ho Gi
    Aur Ham Guzar Jaen Gay

    ReplyDelete
  79. ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!

    Mera To Kaam Mannay Say Tha Me Kaya Karta !!
    Bichar Gaya Wo Bahanay Say Tha Me kaya Karta

    Meri Wafa Ki Haqekat woh Janta Kesay ! ! ! ! ! !
    Jura Hua Woh Fasaany Say Tha Me KAya Karta

    ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!

    ReplyDelete
  80. is kadar dard muhabbat nay dia ha muj ko
    ab yah dua ha k koi jaan say payara na lagay muj ko

    ReplyDelete
  81. Nahin maloom dil pe kya guzri, In dinon kuch khabar nahi aati.
    Din kataa jis tarah kataa lekin, Raat kat-ti nazar nahi aati.

    ***

    Ab Sabab kya hai jo kaanta sa khatakta hai ZAKEE
    Yahi wo dil hai jo rehta tha sadaa ankhon mein

    ***

    In ankhon ki badaulat dil pe aafat aa hi jaati hai,
    Nazar koi na koi achi soorat aa hi jaati hai

    ReplyDelete
  82. Aafaat Kay Pahaar Ka Din Raat Saamna
    Kis Ki Panaah Mangay KahaaN Aadmii Rahay
    Jis Nay Bhi jAnaa Ishq kO Tafreeh, Khush Raha
    Sanjeeda hO Kay hUm tO Nihaayet dUkhii Rahay

    ReplyDelete
  83. Humndardi-e-ehbab se darta hoo’n MHOSIN,,
    Zakham to rakhta hoo’n numaish nahi karta….

    ReplyDelete
  84. Unhon Ne Aapna Haath Barhaya Hai
    Faqat Mujhe Thamne ke liye…
    Par Un Se Main Yeh Kaise kahon K
    Mujhe Haath Nahi SATH chahiye…

    ReplyDelete
  85. Kab Teri Ankhon Se Jhanka Tha Meri Sochon Ka Dukh?
    Tu Mera Tha, Par Mere Dukh Dard Mein Shamil Na Tha!

    ReplyDelete
  86. Agar Yeh Ankhein Akhri Lamhey Tumhein Na Dekh Sakein,
    Tab Bhi Yaqeen Rakhna Inn Mein Aakhri Aks Tumhara He Tha,
    Ke Meri Ankho ke Binayi To Tum They!

    ReplyDelete
  87. Ek Tamana Thi Jo Ab Hasrat Ban Gai
    Kabhi Dosti Thi Ab Mohabbat Ban Gai

    Kuch Is Tarah Shamil Hue Teri Zindazi Main
    Ke Usse Sochte Rahna Meri Adat Ban Gai

    ReplyDelete
  88. mery aur us ke zindgi ma sirf tarteeb ka farak ha faraz
    mery zindgi ma sub us ke baad aty ha
    aur us ke zindgi ma ma sub k baad

    ReplyDelete
  89. suraj chaand sitaare hamare saath mein rahe
    jab tak tere haath mere haath mein rahe

    **********************************************
    shaakhon se toot jayen wo patte nahi hain hum
    aandhi se koi keh de ke aukaat mein rahe

    ReplyDelete
  90. halaat ne tod diya kache dhaage ki tarha warna
    mere waade bhi kabhi zanjeer hua karte the……

    ReplyDelete
  91. shifaa deta hai zaKhmoN ko tumhaara mar’hamii lehjaa
    magar jo dil pe chalte haiN wo aare bhii tumhaare haiN

    ReplyDelete
  92. Yeh Shehar e Sitam Chain Sey Rehnay Nahii dAita
    Har WaQt Barastey Rahey Aafaat Key Pathar
    ChUn ChUn Key Utha lAita hOn PhOolon Kii Trah Main
    jAb Bhi mUjhey LaGtey hAin Teri Baat Key Pathar

    ReplyDelete
  93. Sirf Chehre Ki Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz,
    Dil Ka Aalam Tu Abhi Aap Ne Dekha Hi Nahi

    ReplyDelete
  94. Phir wafaaein bhi kro gy to koe na poochhy ga Faraz
    ye tery saary sitam bhi fakat mery mar jany tak hein

    ReplyDelete
  95. WOH ROYE TO BAHUT PAR MUJSE MUH MOR KAR ROYE
    KOI MAJBURI HOGI JO DIL TOR KE ROYE
    MERE SAMNE KAR DIYE MERI TASVIR KE TUKRE
    PATA CHALA MERE PEECHE WO UNHE JOR KAR ROYE…….

    ReplyDelete
  96. Roone ka Tha Khayaal Magar Din hi Dhaal Gya

    Kehne ko Baat Reh gaye Aur Waqt Tal Gya

    Anjaam Mukhtasir hai meri Dastaan ka

    Kuch Main Badal Gya Kuch Woh Badal Gya

    ReplyDelete
  97. Bikhar rahe haiN meri zindagi ke tamaam waraq
    Na’jaane kab koi aaNdhi uRaa ke le jaaye

    Ma kab tak doosroN ke dukh saNbhal ke rakhoN Faraz
    Jis jis ke haiN wo nishaani bata ke le jaaye

    ReplyDelete
  98. Tum Apne Khayalon Ko Mujhe Sounp K Dekho
    Har Shakhs Amanat Mein Khyanat Nahi Karta

    Hai Koun Jo Chahe Ga Tumhe Meri Tarah Se
    Har Koi To Mujh Jaisi Mohabbat Nahi Karta

    ReplyDelete
  99. yun lagta hy

    jese

    dard k patal mai koi

    tanhayo’n k darbar mai koi

    hijar k maah.0.saal mai koi

    sanatto’n ki taaq mai koi

    mujhe rakh kar bhool gaya hy!!!!!!!

    ReplyDelete
  100. KAAM AY NA MUSHKIL MA KOI YEHA
    MATLABI DOST HA MATLABI YAR HA
    IS JENA MA NAHI KOI EHLAY WAFA
    AY FANA IS JEHAN SAY KINARA KERO

    ReplyDelete
  101. Us k Pyar ki SodaGari bhi Bari Ajeeb thi ‘m0hsiN’

    W0 diL To Khareed raha tha mAGaR Aansoon k dam Se…….

    ReplyDelete
  102. Tammam umr’ bas ‘kal’ ka intezaar kiya
    Unho’ne waada kiya, hum’nay aitbaar kiya….!!

    ReplyDelete
  103. Teri yaad ki ujri basti main tanhai ki gehri raatoon main
    Aik deep abhi tak roshan hai,aik zakham abhi tak gehra hai…..

    ReplyDelete
  104. Bohat Mumkin Hai Dunya Cheen Le Mujh Se Teri YaadeiN
    Ke Ma Ab Aor Tere Gham Ki Hafaazt Kar Nahi Sakta

    Mujhe Aazad Kar Tok-e-Aseeri Bakhshane Waale
    Ma ZanjeeroN Ma Elaan-e-Baghawat Kar Nahi Sakta

    Meri Mushkil Ye Hai Ke Mujhe Adaakari Nahi Aati
    Haqeeqi Aadami Rasmi Mohabbat Kar Nahi Sakta

    ReplyDelete
  105. Tum Mujh Se Juda Ho Kar Phir Yaad Bohat Aaye
    Har Shaam Ko Aangan Ma Jab Phail Gaye Saaye

    Is Shehar Ka Lagta Hai Shewa Hi Nahi Milna
    Har Taraf HaiN Band GalyaN Koi Kis Tarha Mil Paaye

    ReplyDelete
  106. Wo ik Shaks jo hamai zindagi se piyara hai

    Baghair us key veraan ye jahaan sara hai

    Wo nahi janta yah uski zaat kya hai

    Wohi to hai jo Mohabat kay ik sitara hai.

    Nahi milta to dil ki halat ajeeb hoti hai

    Key iss mein mera nahi DIL ka qasoor sara hai

    Wo kya tha, kya hai, kya ho go, kya khabar

    Ye hi pata hai key wo jesa bhi hai bus Hamara hai.

    ReplyDelete
  107. Zindagi hai nadaan, iss liye chupp hoo’n
    Dard hi dard subah shaam, iss liye chupp hoo’n
    Keh to du’n zamanay se dastaan apni
    Uss mei’n aaye’ga tera naam, iss liye chupp hoo’n….!!

    ReplyDelete
  108. Bichar gaya hai to us ka sath kiya mangu’n
    Zara si Umar hai gham se nijat kiya mangu’n
    Wo sath hota to hote’n zarorate’n bhi bohat
    Akeli zaat k liye Kainaat kya mangu’n

    ==================== ==================== ===========

    khabo’n ki traha tha na khyalon ki traha tha
    woh shakhs andhero’n me’n ujalo’n ki traha tha
    uljha huwa aisa ke kabi khul nahi paya
    suljha huwa aisa ke misalo’n ki traha tha

    ==================== ==================== ===========

    ReplyDelete
  109. Badan Pa Apnay Lahu Ka Libass Rakhta Hu
    Ma Khass Phool Hu Rangat Bhi Khass Rakhta Hu
    Kasi Khushi Ke Bhala Ab Mujay Kushi Kyun Ho
    Tery Gham Say Jo Khud Ko Udass Rakhta Hu
    Ma Apnay Dard Ko Kehan Bnatta Phiru Faraz
    K Ma Apni Chaizan Fakat Apnay Pass Rakhta Hu

    ReplyDelete
  110. ek umar ke judai mery naseeb ker k
    wo to chala gya ha batian ajeeb ker k
    terz e wafa ko uski ma kya naam du
    khud dur ho gya jo mujay kareeb ker k

    ReplyDelete
  111. bhula saktay to kub ka bhula dia hota
    mita sakty to kub ka mita dia hota
    tumhay kya peta k kitna dard dati ha yaadian
    beta sakty ho kub ka beta dia hota

    ReplyDelete
  112. Zakhm jab mere seenay ke bhar jaayen’gay
    Aansoo bhi moti ban’ke jab bikhar jaayen’gay
    Tab mat pooch’na kis’nay ye dard diya
    Warna kuch apno’n ke chehray bhi uttar jaayen’gay….!!!

    ReplyDelete
  113. EK JHEEL HA ANKHO MA GO ABBAD BOHAT HA
    SADION YUNHI RONAY KO TERY YAAD BOHAT HA

    ReplyDelete
  114. Aaj Phir Teri Yaad Hai Aye, Sapnay Mere Phir Sath Hai Laye
    Tu Mere Sath Na Sahi
    Teri Yaadein To Hain, Teri Baatein To Hain

    ReplyDelete
  115. Mera daman jalega tau jalogai tum bhi
    yeh samajhte ho,phir aag lagate kyu ho

    ReplyDelete
  116. mujay likhnay ka shooq aughar hota
    to ma apna khawab likhta
    tery cehray ko chand honoto ko ghulab likhta

    tery payar ma bhool k sari kayant ko
    tery zulfion ke chaion ma apna anjam likhta

    haq hota taqdeer likhnay ga mujay apni
    tery sarat gham ma la ker
    apni sari kushian tery naam likhta

    ReplyDelete
  117. Jub tera dard mery sath wafa kerta ha
    ek samndar mery ankho say beha kerta ha
    us ke batian mujay kushboo ke terha lagti ha
    phool jassay koi sehra ma khila kerta ha
    mery dost ke pehchan yahi kafi ha
    wo har ek shaks ko danista khafa kerta ha
    aur to koi sabab us say muhabbat ka nahi
    baat itni si ha k wo muj say wafa kerta ha
    jub khizan ay gi ti wo bhi loat ay ga FARAZ
    wo BEHARON ma zara kaam hi mila kerta ha

    ReplyDelete
  118. Chaman ko chaman ki baharo ne loota,
    kashti ko safar ke kinaro ne loota,
    aap to ek hi kasam se dar gaye mere dost,
    hame to aapki kasam day khar hazaro ne loota..

    ReplyDelete
  119. na khol mery makan k udass darwazy
    hawa ka shoor mery uljhanian bara day ga
    ma khoob wakaf hu us ke fitrat say FARAZ
    wo dard day ga to itna k bass rula day ga

    ReplyDelete
  120. chehra uska gulaab jaisa tha
    rang bhi aaftab jaisa tha,

    pyaar mujhse wo mana karta tha
    meri khatir wo khwab jaisa tha,

    husn bahar to jhankta tha zaroor
    julf uska hezaab jaisa tha,

    misl jisko sukoon samjha main
    har qadam wo azaab jaisa tha,

    neend se jaage to ehsaas huaa
    pyaar ‘sagar’sharaab jaisa tha

    ReplyDelete
  121. Dukhon nay un mery daman ko tham rakha ha
    k jassay un ka bhi mery siwa aur koi nahi ha

    ReplyDelete
  122. Tery jany k bad tera intazar nahi kia
    Juda ho kar tumsy khud ko beqarar nahi kia

    Tum ny kaha tha kih pyar sirf mujhy karna
    Tumhari khatir khud sy bhi pyar nahi kia

    Jo bhi kaha tum ny ussy pura kar dala
    Teri kisi bhi bat sy inkaar nahi kia

    Mery chhahny par bhi tumny kuch na dia
    Khamosh raha tum sy taqrar nahi kia

    Tum sy jo pyar kia to teh dil sy kia
    hum ny to kabhi kuch bhi bekar nahi kia

    ReplyDelete
  123. Her Dharktey Pather Ko Dil Samjh Letey Ho
    “FaRaZ”
    Umer Beet Jati hai Dil Ko Dil BnANey Men ………

    ReplyDelete
  124. Toot ker chaha jisay wo lout ker aaya nahi
    Mairay dil ko oskay siwa or koe bhaya nahi

    Piyar ki sodagari main ham berabar hi rahay
    Os nay kuch khoya nahi ham nay kuch paya nahi

    ReplyDelete
  125. hamay to choot kha ker muskranay ke addat thi FARAZ
    logo nay yah soch ker zakham diay k shyed hamay darad nahi hota

    ReplyDelete
  126. sehra ma phool khila day koi
    ma akela hu sada day koi
    koi sunaty sa sunata ha
    kassh tufan utha day koi
    jiss nay caha tha mujay pehlay pehal
    us sitamgar ka peta day koi
    jiss say tootay mera pindar-e-wafa
    muj ko assi saza day koi
    raat soti ha to ma jagta hu
    us ko ja ker yah beta day koi
    jo mery pass bhi ha dooooooor bhi ha
    kassay us ko bhula day koi

    ReplyDelete
  127. Woh Kaisa Shaks Hay K Her Roz Saza Deta Hay
    Phir Hansata Hay Woh Itna Kay Sab Bhula Deta Hay

    Kabhi Jo Ro Dey To Mujh Ko Bhi Bhool Jata Hay
    Aur Phir Bhool Kay Mujh Ko Bhi Rula Deta Hay

    Humaray Paas Na Aanay Ke qasam Kha Ker Woh
    “Aaja“ Likhta Hay or, Khaghaz Pay Urra Deta Hay

    Ussay Poocho Kay Bata Kis Say Muhabbat Hay Tujhko
    Naam Sargooshi Main Mera He Suna Deta Hay

    Kabhi Kehta Hay Chaloo Sath Hamesha Meray
    Chal Paroon Sath To Rasta He Phira Deta Hay

    Khud He Kehta Hay Na Dohraoo Purani Yaadein
    Main Na Dhohraoon To Phir Khud He Suna Deta Hay

    ReplyDelete
  128. Yah Yaad Ha Tery Ya Yaad Khud Tum Ho
    Yah Khwab Ha Tery Ya Khwab Bhi Tum Ho
    Main Nahi Janta Bass Itna Beta Do
    Muj Ma Jaan Ha Tery Ya Mery Jaan Tum Ho

    ReplyDelete
  129. ”MUJAY TUM CHOR MAT DENA”

    HAZARON DURIAN AIAN

    BAHARIAN aa ker khoo jain

    mera CEHRA bhula daina

    Mery YAADEN becha laina

    Jo LAMHAY dard daty hon

    Unhay beshak BHULA dana

    Jo LAHMAY ass daty hon

    Unhay DIL say laga lana

    Kahin bhi DOOR reh lana

    Bohat MAJBOOR reh lana

    Mughar is DOORI ko tum BAHANA mat BANA lana

    TALLOUQ tor mat dena

    ”MUJAY TUM CHOR MAT DENA”

    ReplyDelete
  130. “Kabhi tum loat k aao!
    Mujhe bus itna samjhao!
    Kahan se seekh li tum ne?
    Ada mujhko bhulane ki!
    Tumhe mujhse shikwa tha!
    Ya koi b shikayat thi!
    Zehmat tu zara C thi!
    Na ki koshish batane ki?
    Bhala yun chor k aisy koi apno ko jata hai?
    Musalsal dukh ki barish me!
    Yun Jeewan bhr rulata hai?
    Abhi tu rait geeli hai!
    Bane apne gharondon ki!
    Abhi sb naqsh baqi hen!
    Gay qudmon py lot ao!
    Mujhe bus itna samjhao!
    Kahan se seekh li tum ne?
    ada mujhko bhulane ki.

    ReplyDelete
  131. “Kahun K Kia Ho Tum….?”
    Mere liye meri Duniya ho Tum
    Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum
    Maine jo Mangi wo Dua ho Tum
    Kya maine Mehsos wo Ehsas huTum
    Meri Nazar ki Talash ho Tum
    Meri Zindagi ka Qarar ho Tum
    Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum
    Mere Intizar ki Rahat ho Tum
    Mere Dil ki Chahat ho Tum
    Tum ho tu Duniya hai Meri
    Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin
    Meri JAAN ho Tum!!!!!!!

    ReplyDelete
  132. Chalo mein maan leta hoon,
    yeh dunya jhoot kehti hai..

    Tumhen humse nahi ulfat..
    chalo mein maan leta hoon,

    Tumhari beqarari ki,
    wajah kuchh aur hi hogi.

    Nigahen mujhse milte hi,
    tumhare muskurane ka,
    sabab kuchh aur hi hoga!

    jisay kam fehm logon ne,
    mohabbat naam de dala!

    Magar itna bata do tum,
    bichharte waqt jan-e-jaan.!

    Palat kar dekh k humko,
    tumhari jheel si aankhen,

    Chhalakti ja rahi thein,kyun?

    Hamain tarpa rahi thein,kyun?

    ReplyDelete
  133. kis Qadar Ajreen Ha yah Silsila-e-ishq Bhi Faraz
    Muhabbat To Qaaim Hehti Ha Mughar Insan Toot Jata Ha

    ReplyDelete
  134. мüнäввäт мäïη мäïηë кÿä кüċн ηнï ℓüтä ∂ïÿä,
    üηкö ρäѕäη∂ тнï яöѕнηï öя нäмηë кнü∂ кö נäℓä ∂ïÿä…. )

    ReplyDelete
  135. BASS EK HI TABASSUM PA LUTA DATY HA UMARIN
    HUM JASSAY GHANI LOGO SAY KAAM KAAM NA MILA KERO

    ReplyDelete
  136. AANKH PER FARZ HA HAR WAKAT SAWALI REHNA
    IS PA SAJTA HI NAHI ASHK SAY KHALI REHNA

    ReplyDelete
  137. tumhari duniya mein hum jese hazaron hain faraz……
    hum hi pagal thay jo tumhe pa ke itraane lage

    ReplyDelete
  138. tanha rahoon mein chalne waley manzil ka pata kahan jante hain
    ham to thokar khaney ko hi zindgi ka samaan jante hain

    tum rehney wale ho kis nager ke kahan se aye mery dunia mein
    ham to koe aisi zameen na aisa asmaan jante hain

    hamry dil mein rehti hain sada se murjhaey howi umeedein
    kab bahar ati hay kia janein ham to sirf khazan jante hain

    dunia samjhti hay hamein kia kia khabar loog kia kahte hain
    ham to tery har lafz ko apne liay aakhri farman jante hain

    kabe masjid nahe gaey kabe mandir nahe daikha
    ham to sirf tery naam ke azaan jante hain

    muslim o esai hain kon hindo o yahoudi hain kia
    hamry liay itna hi boht hey ham ko insaan jante hain

    nafrat bhari dunia mein sirf gham o udasi hi miley gee aadil
    chal khushion ke nagar mein ham aisa ik jahan jante hain

    ReplyDelete
  139. Us shakhs ko to bicharne ka salika bhi nahi FARAZ
    jate howe khud ko mere pass chor gay

    ReplyDelete
  140. mezaaj hum say zayda juda na tha us ka
    jub apnay tor yahi thay to kya gila us ka
    wo apnay zaam ma tha bekhabar reha muj say
    usay gumman bhi nahi ma nahi reha us ka
    wo barak ru tha mughar reh gya janay keha ?
    ab intazar kerin gay shekasta pa us ka
    hum nay hi tarkay tulak ma pehal ke k Faraz
    wo bhi chahta tha mughar hosla na tha us kA

    ReplyDelete
  141. Ajab tamasha gar ha yah matti k putlaY bhi Faraz
    Bewafai kero to Rotay ha wafa kero to Rulaty ha

    ReplyDelete
  142. JAANA dil ka shehar nagar afsoos ka hay
    tera mera sarah safar afsoos ka hay

    Kis chahat sey shehar-e-tammana manga tha
    Ab hathoon mein sagar Afsoos ka hay

    Ik dhehleez pe jaa kar dil khush hota tha
    Ab toh shehar mein har ik dil afsoos ka hay

    Hum ney Ishq Guna sey bhar kar jaana tha
    Aur dil pe pehlaa pathar afsoos ka hay

    Dekhoo ess chahat k pairh ki shakhoon par
    Phool ous hassi ka hay Samar afsoos ka hay

    Koi pachtawa sa pachtawa hay FARAZ
    Dukh ka nehi afsoos magar afsoos ka hay

    ReplyDelete
  143. Tu Muje or kahin le chal wasi.
    Jahan rat kbi soi na ho,
    Jahan subah ksi pe roi na ho,
    Jahan hijr ne wehshat boi na ho,
    Jahan koi cheez ksi ki khoi na ho,
    Muje or kahin le chal wasi.
    Jahan shehr hon sare verane,
    Jahan log hon sare begane,
    Jahan sb k sb hon dewane,
    Jahan koi na humko pehchane,
    Muje or kahin le chal wasi.
    Jahan nafrat dil men bus na ske,
    Jahan koi ksi ko duss na ske,
    Jahan koi ksi pe hans na sake,
    Muje or kahin le chal wasi.

    ReplyDelete
  144. Aa k lay jaey meri aankh ka pani mujsay,
    Kiun hassad karti hai darya ki rawani mujsay,
    Gosht nakhun say alag kar k dikhaya main nay,
    Usnay pochay thay judai k maani mujsay,
    Teri khushbu ki lehd par main barra tanha tha,
    Ro parri mil k galay raat ki rani mujsay,
    Khatam honay laga jab khoon b ashkon ki tarha,
    Kar gaey khawab meray naqal makani mujsay,
    ‘Sirf ik shakhs k gham main mujay barbad na kar’
    Roz rotay howay kehti hai mery zindgani mujsay…. !!

    ReplyDelete
  145. Abhi is taraf na nigah kr ,
    main ghazal ki palkein sanwaar loon,
    mera lafz ho Aaina,
    tujhe aainey me utaar loon!
    Main tamam shab ka thaka hua
    ,tu tamam shab ka jaga hua,
    Zara theher ja isi mor par
    , tere sath shaam guzaar loon!
    Agar Aasman ki numaishon me mujhe b izn-e-qayam ho,
    To main motiyon ki dukaan se,
    Tara chehra or nikhaar loon!
    Kuch Ajnabi tare sheher k,
    Mere paas sa u guzar gaye,
    unhe dekh kr ye tarap hui,
    tara naam le k pukaar loon!

    ReplyDelete
  146. Gaye dinoon main mohabbat mizaj uss ka tha
    Magar kuch aur hi aaj andaaz uss ka tha

    Woh sher-e-yaar jubb aqleem hurf main aaya
    Tou mera dast-e-nagar takht-o-taaj uss ka tha

    Main kiya bataon kiyun uss nay be-wafai ki
    Magar yeh hi keh kuch aisa mizaj uss ka tha

    Humain bhi dukh hai Dil-e-zinda dil kay marne ka
    Kisi kay paas magar kubb elaj uss ka tha

    ReplyDelete
  147. Kiya rukhsat-e-yaar ki ghari thi
    Hansti hoi raat rou pari thi………

    Hum khud hi hoye tabah warna
    Dunya ko hamari kiya pari thi

    Yeh zakhm hain unn dino kay
    Jubb aap say dosti bari thi

    Jatay kidher ko terey wehshi
    Zangeer-e-junoon kari pari thi

    Gham thay keh Faraz andhiyan thein
    Dil tha keh Faraz pankhari thi

    ReplyDelete
  148. BE WAJHA
    Is k baad ko dard , dard nahi lagta
    k shidat-e-dard ke intha hoti ha muhabbat
    nahi uthi phir wo ankhan kassi pa
    jin ankhon ma fana hoti ha yah muhabbat
    umar bhar jin ka azalla na ker paain
    bas ek assi hi khata hoti ha muhabbat
    jo mil jay to phir kya kehna
    wenra ek musalsal saza hoti ha muhabbat
    log har baar muj say yahi pochtay ha
    tum nay us ma dakha kya ?
    ma har baar yahi kehta hu
    BE WAJHA hoti ha muhabbat

    ReplyDelete
  149. mosam badal gay , zamanay badal gay
    lamhon ma dost puranay badal gay
    din bhar jo rehay mery muhabbat ki chaon ma
    wo log dhoop dhaltay hi thiikanay badal gay
    kal jin k lafz lafz ma chahat thi payar tha
    lo aaj un labon k tarayany badal gay
    ek shaks kya gya mera saher chor ker
    jeenay k saray dhang bahanay badal gay
    ab wo wo na reha, ma ma na reha
    saray hi zindgi k fasanay badal gay

    ReplyDelete
  150. ma nay mangi thi ujalay ke fakat ek kiran hi FARAZ
    tum say yah kis nay keha tha k aag hi laga di jaY

    ReplyDelete
  151. Faraz abb kay ajab aag si wajood main hay
    Keh dil peh zakhm tou thay magar aablay na thay aisay

    ReplyDelete
  152. Ajeeb rutt thi keh harchand paas tha woh bhi
    Bohat malool tha main bhi,udaas tha woh bhi

    Kisi kay sheher main ki guftugoon hawaon say
    Yeh sooch kar keh kahin aas paas tha woh bhi

    Hum apnay zoem main khush thay keh uss ko bhole chukay
    magar gumaan tha yeh bhi qayas tha woh bhi

    Kahan ka abb gham-e-dunya kahan ka ab gham-e-janan
    Woh din bhi thay keh humain yeh bhi raas tha woh bhi

    Faraz teray girebaan peh kal jo hansta tha
    Ussay milay tou dareedah libaas tha woh bhi

    ReplyDelete
  153. mery hont mat see mujay izhar ka moka day day
    ishq jurm ha to iqrar ka moka day day
    ankhon ankhon ma hi keh lu ga jo kehna ha mujay
    aik pal k liay didar ka moka day day
    ker lay tasleem mery khamosh mohabbat
    ya sar-e-aam mujay payar ka moka day day
    khatan ker dar-o-dewar ke har pabandi
    ya tawafe dar-o-dewar ka moka day day
    jeet jana mera shied tujay bardasht na ho
    khail aysa khail mujay haar ka moka day day

    ReplyDelete
  154. kuch assaay hadsay bhi hoty ha zindgi ma FARAZ
    insan bach to jata ha mughar zinda nahi rehta

    ReplyDelete
  155. mery wajood ko tu samait lay , ma bikhar reha hu zara zara
    mery ansou ko ponch lay , ma sisak reha hu zara zara
    mery chahaton ko samaj kabhi,mery hasraton ka khayal ker
    tery dedar ke ek arzoo ma , ma tarap reha hu zara zara
    apnay payar ka ek diya mery raah ma to jala to kabhi
    andhari raat ka naag mujay dass reha ha zara zara
    aa mery dil pa apna haath rakh mery darkno ko qarar day
    mery sans to chal rehi ha mughar ma ge reha hu zara zara

    ReplyDelete
  156. kuch un ke adaon ka talabgar bohat tha
    kuch apni anaon say hamay payar bohat tha
    socha tha pa lun ga usay ek na ek din
    pehli se muhabbat pa atibar bohat tha
    manzilan kassay naseeb ho tery dedar ke
    rasta jo tery ghar ka purisrar bohat tha
    us nay kuch is andaz ma izhar kia tha
    iqrar kam iqrar ma inkar bohat tha
    mujay to faqat payar me russwain milan
    shyed k muhabbat ka gunahar bohat tha

    ReplyDelete
  157. kassi ke ass ban ker phir
    usay tanha nahi kerty
    bhala kitni bhi mushkil ho
    mughar assa nahi kerty
    muhabat ma shikayat ka
    keha dastoor hota ha
    gila ker k muhabat ko
    kabhi ruswa nahi kerty
    wafain to haqiqat ma
    bari anmiol hoti ha
    kabhi apni wafaon ka
    sila manga nahi kerty

    ReplyDelete
  158. nahi furstian yakeen mano
    hamay kuch aur kerny ke
    us ke yaadin , us ke batian
    bara masroof rakhti ha

    ReplyDelete
  159. ~~~~~~~~~~~~Dair Talak~~~~~~~~~~~~

    Dil main phir dard howa dair talak
    Na mili iss ko dawa dair talak
    Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi
    Phool khamosh raha dair talak
    Tum nay to sirf suna hee ho ga
    Mein nay jo dard saha dair talak
    Shab ko phir mein nay sulgata paya
    Mun ka khamosh diya dair talak
    Uss nay kuch aur kaha tha shayed
    Mein nay kuch aor suna dair talak
    Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?
    Mein nay tab hans k kaha dair talak
    Janay wala nahi ek pal bhi ruka
    Aks aankhoon main raha dair talak
    Maslahat reh gaee hontoon pay Batool
    Rooh main shor macha reha dair talak

    ***************************************

    ReplyDelete
  160. ~*~*~*~*~*~*~*Nahin Kartay~*~*~*~*~*~*~*

    Yoon dil ko her ek shakhs pay wara nahi kertay
    Aankhoon may her ek aks uttara nahi kertay

    Honi hai to ek bar hee ho jaey mohabbat
    Yeh bhool hai aisee k dobara nahi kertay

    Aacha howa mein nay hee faqat dekha mager yoon
    Mehfil main kisi ko bhi ishara nahi kertay

    Mil jaey sir-e-rah jo bhichra howa koi
    Chup chap hee taktay hain pukara nahi kertay

    Kion payar ki bazi say ho iss darja gurezan
    Kehtay hain k dil har k hara nahi kertay

    Kajal say bhi aab kaam koi lay na !
    Yoon dard say aankhoon ko sanwara nahi kertay

    ReplyDelete
  161. Batao Dil Kii Baazi Mein Bhalla Kya Baat GehRii Thii
    Kaha yOun tO Sabhi Kuch Theak Tha Par Maat GehRii Thii

    Suno Barish , Kabhi KhUd Sey Bhi Bhar Kar kOii Dekha hAi
    Jawab Aaya Un AanhOun Kii Magar BarSaat GehRii Thii

    Suno “Pee” tUm Ney hOley Sey Kha Tha Kya, Batao Gey?
    Jawab Aaya Kaha tO Tha Magar wO Baat GehRii Thii

    Deya Dil Ka Sumandar Us Ney tUm Ney Kya Kiya Us Ka?
    hUmien bUs dOob jAna Tha K wO SOghaat GehRii Thii

    Waffa Ka DaSht Kaisa Tha Batao tUm Pey Kya Beetii
    Bhatak jAna Hii Tha hUm Ko Whan Par Raat GehRii Thii

    tUm Us Key Zikar Par kyOun dOobey jAtey hO KhyaalOn Mein
    Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath GehRii Thii

    Nazar Aaya tUmhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
    SunO Qaatil NigaahOn Kii wO Zalim Ghaat GehRii Thi

    ReplyDelete
  162. Pyar Heyrat Hey Jisey Koi Chupa Bhi Na Sakey
    Pyar Dolat Hey Jisey Koi Chura Bhi Na Sakey
    Pyar Afat Hey Jisey Koi Bhula Bhi Na Sakey
    Pyar Naghma Hey Jisey Koi Ga Bhi Na Sakey
    Pyar Nalah Hey Jisey Koi Daba Bhi Na Sakey
    Pyar Shikwa Hey Keh Honton Peh Jo Aa Bhi Na Sakey
    Pyar Qisa Hey Jisey Koi Suna Bhi Na Sakey
    Pyar Qarza Hey Jisey Koi Chuka Bhi Na Sakey
    Pyar Fitna Hey Jisey Koi Sula Bhi Na Sakey
    Pyar Kitna Hey Koi Itna Bata Bhi Na Sakey
    Pyar Tamgha Hey Jisey Koi Saja Bhi Na Sakey
    Pyar Wadah Hey Jisey Koi Nibha Bhi Na Sakey
    Pyar Dhoka Hey Koi Khaye To Kha Bhi Na Sakey
    Pyar Pardah Hey Jisey Koi Hata Bhi Na Sakey
    Pyar Hey Naaz Jisey Koi Utha Bhi Na Sakey
    Pyar Shola Hey Jisey Koi Bujha Bhi Na Sakey
    Pyar Ki Aanch Sey Dil Koi Bacha Bhi Na Sakey
    Pyar Basti Hey Jisey Koi Basa Bhi Na Sakey
    Pyar Taqat Hey Jisey Koi Hara Bhi Na Sakey
    Pyar Shokhi Hey Jisey Koi Rula Bhi Na Sakey
    Pyar Tootey To Koi Us Ko Bana Bhi Na Sakey
    Pyar Roothey To Koi Us Ko Mana Bhi Na Sakey

    ReplyDelete
  163. MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
    Rahay hum bhi gurezaaN, aap bhi naaraaz, kya karte?

    Sanam tujh se muHabbat ka bhala aaghaz kya karte
    LaboN per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

    Mire aHbaab kyaa karte, mire dam-saaz kyaa karte?
    Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

    Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
    Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?

    Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
    Usey bhaati thi TooTe kaanch ki aawaaz, kya karte?

    Ham us ke saamne chup saadh kar baiThaa kiye, phir bhi
    “Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?”

    Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
    Magar ANMOL ke tum jaan kar woh raaz, kya karte?

    ReplyDelete
  164. ” Mohabbat Humsafer Meri ”

    Khatan hai zindgee kitni
    Safer dushwar karna hai
    Kabee paon nahi chaltay
    Kabee rasta nahi milta
    Hamara saath day payay
    Koi aisa nahi milta
    Guzaron b tu kaisay yeh
    Roz-o-shab nahi kat-tay
    Mager muj ko mairay MAALIK
    Koi shikwa nahi tuj say
    Main jaan pe khail sakta hon
    Main her dukh jhail sakta hon
    Ager tu aaj kar day
    ” Mohabbat Humsafer Meri ”

    ReplyDelete
  165. Kabhi chupkey se
    dherey se
    zara se naram lehjey main
    kabhi hans k
    kabhi halki si muskan
    zair-e-lab rakh k
    koi tum ko pukarey
    aur tumhain us ki pukar
    aisey lagey
    jaisey hum tum ko bulatey the
    to beshak us ki soorat main
    humarey aakas ko rakh kar
    humain tum yaad kar lena

    ReplyDelete
  166. Kash main keh sakoon kabhi tum se
    Dil ki har bat ankahi tum se………. …
    Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
    bari mushkil hai yah dil lagi tum se
    Kash ke main keh sakoon k tum kya ho
    Hai mere dil main chandni tum se
    Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
    Baat karni hai koi zaroori tum se
    Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
    kaise hoti hai berukhi tum se
    Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
    meri duniya main roshni tum se
    Kash ye raaz keh sakoon main kabhi
    Hai haseen meri shairi tum se
    Kash lafzon main kabhi keh paoon
    Mil ke hoti hai jo khushi tum se
    Kash ye umr yoon guzar jaye
    meri yadain rahain saji tum se..

    ReplyDelete
  167. bicharty waqt us ko ik na ik tohfa to dena tha
    hamary paas tha aankhon main paani or kia dety.

    ReplyDelete
  168. usi simt chaly ho to bus itna usy kehna
    ab koi nahi harf-e-tamanna usy kehna
    us ny hi kaha tha to yaqeen main ny kia tha
    umeed pr qayam hy dunia usy kehna
    dunia to kisi haal main jeeny nahi deti
    chahat nahi hoti kabhi ruswa usy kehna
    zarkhaiz zameen kabhi banjar nahi hoti
    daria hi badal lety hain rasta usy kehna
    WO MERI RASAAI MAIN NAHI HY TO AJAB KIA
    HASRAT BHI TO HY ISHQ KA LEHJA USY KEHNA.

    ReplyDelete
  169. har lamha teri yaad ki khushbu hai merey pas
    is shehr main tanha hoon magar tu hai mere pas

    jis shakl ko chaho.n teri soorat main badal doo.n
    ye husn-i-tasawwar hai ke jadu hai merey pas

    rakhta hai sada jo meri raato.n ko muattar
    woh terey badan ka gul-i-khushbu hai merey pas

    kia muj ko pasand aaye.n gey is shehar ke naghmey
    tu hai meri koyal teri ku ku hai merey pas

    kiyun thamo.n ga main jana.n kisi aur ki banhai.n
    pehney huey kangan tera bazu hai merey pas

    ab chahon qateel us k nagar tak muje le jaey
    socho.n ka chamakta hua jugnu hai merey pas

    ReplyDelete
  170. wo hum safar tha mughar
    us say hamnawai na thi
    k dhoop chaon ka alam reha judai na thi
    adawat thi, tagaful tha, rangish thi,mughar
    bichranay walay ma sub kuch tha bewafai na thi
    bicharty wakat un ke ankhon ma thi hamary GHAZAL
    Ghazal bhi wo jo kabhi kassi ko sunai na thi
    kisay pukar reha tha wo dubta hua din
    sada to ai laken duhai na thi
    kabhi yah haal tha k dono ma yak-dil MOHSIN
    kabhi yah marhala k jassay kabhi ashnai na thi

    ReplyDelete
  171. ULJHAY HUAY HALAT HA SHIKWA NA KIA KER
    KHAIRAAT MA KUSHION KE TAMANA NA KIA KER
    SO BAR KHA ITNI MOHABBAT NAHI ACHI
    SO BAR KEHA ITNA BHAROSA NA KIA KER
    HALAT TUJ KO MUJ SAY MILNAY KABHI DIAN GAY
    AY DOST MERY.. MARI ITNI TAMANA NA KIA KER
    NA JANAY KIS MOR PA LAY JAY ZINDGI
    TU KASSI PAL BHI MUJ KO KHUD SAY ELAHDA NA KIA KER
    MUMKIN HA KASSI ROZ BICHAR JAU ACHANAK
    TU MUJ SAY PAYAR ITNA ZAYADA NA KIA KER

    ReplyDelete
  172. Suna Tha Waqt Marham Hai,Har Zakhm Bhoola Deta Hai
    Har Guzra Lamha Hum Ko Tu,Ek Zakhm Naya De Jata Hai

    Raat Ki Raani Hai Yaa Teri Yaado Ki Khushbu
    Kuch Tu Hai,Jo Aangan Mera Ehsaas Ka Mehka Deti Hai

    Gar Tere Khayaloo Mein Khoo Kar Neend Aa Bhi Jaye
    Aa Ker Khwaboo Mein,Tera Tasweer,Hum Ko Jaga Deti Hai

    Khush Hote Hain Tasweer Mein Tumhein Qareeb Dekhker
    Shayadmil Na Paye Hum,Ye Haadsaa Sehma Deta Hai

    Dil Buhut Nazuk Hai,Gum Se Ubharnaa Aaye Na
    Pathar Pe Chott Lage Tu Wo Bhi Saza Deta Hai

    Dushman Hai Zamana Mohabbat Karne Waloko Saza Dete Hai
    In Dooriyu,Judaii Ka Ehsaas Rula Deta Hai

    ReplyDelete
  173. KEHTE HEIN ISHQ NAAM K GUZRE HEIN EK BAZURG
    HUM LOOG B MUREED USSI SILSALE K HEIN

    ReplyDelete
  174. yon jurm muhabat ki saza deti hai dunya
    hanstey hoyee charo ko rola deti hai dunya
    aarman machalte hoye darte hai dilo me
    jazbaat ka yon khoon baha deti yah dunya
    har sooch per aankho me ummad aate hai aanso
    ayse hi wafaoo ka sila deti hai dunya
    marne ki tamnna ho to marne deti hai dunya
    jete hai to jeney ki saza deti hai dunya
    kb tak koi ashsaan muhbbat ke uthayee
    har gaam ye ak zakham laga deti hai dunyaa
    astarah andehroo me kami aayee gi kese
    jw deep jalata ho bujha deti hai dunyaa
    sach baat jw kehta hay is umar me ay naaz
    as shakhs ko soli chardha deti hai dunya.

    ReplyDelete
  175. Utha k phool ki patti ko nazaakat se masal daala,
    Ishaare se kaha hum dil ka yoon haal karte hain……….

    ReplyDelete
  176. tum ishq ki kashti main kadam soch kar rakhna faraz………..
    darya-e mohabbat k kinaray nahi hotay……………………….

    ReplyDelete
  177. SATH roti thi mery sath hansa krti thi
    Wohi, jo mery dil me basa krti thi
    MERI chaht ki talabgar thi wo is qadr k
    Nmazon me milne ki dua karti thi
    1 pal ka Bichrna b gavara na tha usko
    ROTAY rotay wo mjhe khud se juda krti thi
    MERAY dil me wo rhi dhrkan ban kr
    Or saye ki trha sath chla krti thi
    ROG-E-DIL jo laga bethi thi anjane main
    MERI aghosh mai marne ki dua krti thi
    BAT kismat ki he jo juda ho gye hum
    WRNA wo to mjhy Taqdir kaha krti thi

    ReplyDelete
  178. Log kehte hain ki humne unhe bhula rakha hai,
    Woh kya jaane in aankho mein unhe chupa rakha hai,
    Dekh na le unhe koi hamari nazar se,
    Is dar se in palkoon ko jhuka rakha hai-

    ReplyDelete
  179. Na Pooch Jana Key Haal Kiya Hay
    Bataoo’n Tujhko Majaal Kya Hay
    Jisay Milla Ho Urooj Har Pal
    Usay Khabar Kiya Zawaal Kya
    Kaha Tha Tum Ne Mujhy Bhula Do
    Bhula Diya To Mallal Kya Hay

    ReplyDelete
  180. Kaun Kehta Hai Tujhe Mainay Bhulaa Rakha Hai
    Teri Yaadon Ko Kaleje Say Lagaa Rakha Hai

    Lab Pay Aahein Bhi Nahin Aankh Mein Aansuu Bhi Nahin
    Dil Nay Har Raaz Mohabbat Ka Chhupaa Rakha Hai

    Tuuney Jo Dil Kay Andhere Mein Jalayaa Tha Kabhi
    Woh Diyaa Aaj Bhi Seenay Mein Jalaa Rakha Hai

    Dekh Jaa Aakay Mehaktay Huye Zakhmon Ki Bahaar
    Mainay Ab Tak Tere Gulshan Ko Sajaa Rakha Hai

    ReplyDelete
  181. Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney
    Phir Bhi Khush Reh Kar Khood Ko Saza De Main Ney

    Khushi Tu Na Mumkin Se Hai Mere Zindage Main
    Phir Bhi Zindage Main Khusion Ko Panah De Main Ney

    Dukh Sehney Ke Adat Se Par Gaye Hai Mujh Ko
    Is Dukh Sey Jaisey Dosti Kar Le Hai Main Ney

    Merey Dukhon Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi
    Phir Bhi Kise Sey Umeed Lagaye Hai Main Ney

    Us Ney Merey Dukhon Ko Ek Bahana Samjha
    Phir Bhi Us Ke Berukhi Ko Apna Liya Main Ney

    Apney Ansu Or Gham Ley Kar Kahan Jaon Main ?
    Jis Key Sath Yeh Sab Banta Tha Usey Hi Koh Diya Main Ney.

    ReplyDelete
  182. Apna Ehsas mar na jaye kahin
    Dard had se Guzar na jaye kahin

    Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
    Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

    Ab k Awaz doon to aa jana
    Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

    Un ka Wada to hai magar Dil ko
    Dar hai k kafir mukar na jaye kahin

    Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
    Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

    Meri Dunya hai Dard ki Surat
    Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

    Khak se Aab tak to aa pohnchey
    Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

    Yeh Mohabbat b ek Bala theri
    Hum ko Dar hai wo Darr na jaye kahin

    Is liye Muskuraye phirta hoon
    Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

    Dil se guzra to hai magar Saqi
    Apni Jaan se guzar na jaye kahin

    ReplyDelete
  183. Wafa ke wade woh sare bhula gaya chuap chap
    Woh mere dil ki deewarain hila gaya chup chap
    Ghum-e- hayat ke taqte hoye bayaban mein
    Humain woh chor ke tanha chala gaya chup chap
    Najane kaun sa woh badnaseeb lamha tha
    Jo ghum ki agg mein mujh ko jala gaya chup chap
    Mein jis ko chuti hoan Faryal woh zaqm dayta hai
    Woh phool aysy chaman mein khila gaya chup chap
    Wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
    Woh mere dil ki deewarain hila gaya chup chap

    ReplyDelete
  184. tujhay roz daikhon kareeb say
    meray shoq bhi hian ajiib say
    mujhay mangna hia tujhi ko bus
    apnay rub aur us k habib say
    meri ankh main bhi hai ajizi
    meray khwab bhi hain ghareeb say
    meray sub dukhon ki dawa ho tum
    milay kiya sukoo�n phir tabib say
    main bohat khush honn jor kar
    nasib apna teray nasib say

    ReplyDelete
  185. Jo main na rahun, aankhon main aansoo na bharna tum
    Is dil pe hai bas naam tumhara, yeh yaqeen rakhna tum
    Main hoon tere sath, tu humraah hai mere har qadam
    Door ho kar bhi kahan ek doosre se hain door hum
    Guzarta har pal, har lamha tere aur qareeb kar deta hai
    Saanson ki yeh dor teri saanson ke sang jod deta hai
    Mere humdum, mere humnawa, pyar tera, meri zindagi
    Khuda ke baad, main karun dil se bas teri hi bandagi!!

    ReplyDelete
  186. Kash wo guzri shaam aa jaye
    Tere honton pe aaj mera naam aa jaye
    Mera dil tarapta ha tujh se milny ko
    Tere dar se koi pegham aa jaye
    Band aankhon me tere sapny dekh kr
    Kuch nahi to dil ko aram aa jaye
    Dil se dil juda na ho umar bhar
    Kash koi aisa nizam aa jaye

    ReplyDelete
  187. Har roz koi khowab tot jata ha
    har roz koi apna roth jata ha
    Na jany meri qismat me kya ha
    Jisy hum yad karty hain
    Wo he hamy bhol jata ha

    ReplyDelete
  188. Koi to ho aisa jo sirf mera ho
    Baton me unki khushbu ho
    Dil me unka basera ho
    Chahy to chahat meri
    Mangy to mohabat meri
    Wo chand ki chandni ho to
    Chand sirf mera ho
    Wo falak ki roshni ho to
    Suraj sirf mera ho
    Wo pholon ki khushbo ho to
    Ehsas sirf mera ho
    Wo falak ka ujala ho to
    Charagh sirf mera ho
    Wo ishq or Mohabat ho to
    Dil sirf mera ho
    Wo pani ka cheenta ho to
    Darya sirf mera ho
    Wo kismat ki lakeer ho to
    Hath Sirf Mera Ho.

    ReplyDelete
  189. @#@#@>>> WEERAN AANKHE <<<@#@#@

    Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
    Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein
    Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
    Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein
    Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
    To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein
    Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
    Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein
    Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
    To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
    Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
    Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein…!!

    ReplyDelete
  190. Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
    Jaate hue rota woh mujhe chorr gayi thi

    Armano ki Duniya ke anmol se sapne
    pal main woh mere saamne sab torr gayi thi

    Jaan deti thi meri her baat pe lekin yun hi
    Besabab Duniya se mera rukh morr gayi thi

    Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
    Saare ghamon se rishta mera jorr gayi thi

    Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
    Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gayi thi..

    ReplyDelete
  191. Ya meri talaash ka jurm hai,
    ya meri wafa ka kasoor hai,
    jo dil k jitney karib hai,
    Woh nazar se utna hi door hai..

    ReplyDelete
  192. Shaam-E-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
    Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay
    Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain
    Tu Pareshaa’n Rahay, Hum Nahi Chahtay
    Aaj Ansoo Bahaanay Say Mat Rokiye
    Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay
    Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain
    Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay
    Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
    Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay
    Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
    Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay
    Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar
    Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay

    ReplyDelete
  193. in faslon ke fikar ma kyun keru bhala
    bohat door reh ker bhi mery pass hi koi
    is soch ma dooba ma bohat dair say mera dil
    kia us k dil ma bhi aysa ehsass ha koi
    us ke nazron say bana mery sanson ka tasalsul
    is tera mery zindgi ke ass ha koi
    us ka jo pochna ha to bass itni he jaan lo
    bohat khass bohat khass bohat khass ha koi
    Faraz jo ja rehay ho ti yah bhi usay kehna
    us k bina is sehar ma bohat udass ha koi

    ReplyDelete
  194. mery wajood ko tu samat lay, ma bikhar reha hu zara zara
    mery ansoo ko bhi ponch lay ma sisak reha hu zara zara
    mery chahaton ko samaj kabhi mery hasraton ka khayal ker
    tery dedar ke ik arzu ma tarap reha hu zara zara
    apnay payar ka ik dia mery raah ma to jala kabhi
    andhari raat ka naag ka mujay dass reha ha zara zara
    aa dil pa mery hath rakh mery darkno ko karar day
    mery sans to ha chal rehi per ma jee reha hu zara zara

    ReplyDelete
  195. mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya
    zakhm hi zakhm hain dil dikhaayen kya
    dhaanptaa hoon moonh to paer dikhte hain
    poochhiye kafan se hum chhupaayen kya
    hai khel zindagi ka taqdeeron ke haath mein
    jo hona hai so hona hai ghabraayen kya…?
    utthaa rahe hain tere dar se mujhko log
    tum kaho to duniya se utth jaayen kya….?
    unka shahar hai unke log unhi ki mehfil
    yaa.n kisi ko apni dastaa.n sunaayen kya
    shayad umeedon se baazi maar laaye ishq
    aakhiri dhadkan bhi daav par la0gaayen kya..?

    ReplyDelete
  196. ay mot to tehar zara akhir ma un ko dakh to lu
    baat faqat ik pal ke ha inkar nahi mar janay say

    ReplyDelete
  197. kafi arsa beet gya
    janey ab wo kesa hoga
    waqt ki sari karwi baatein
    chup chaap hi sehta hoga
    ab bhi bheegi barish mein wo
    bin chatri ke chalta hoga
    mujh se bicharey arsa beeta
    ab wo kis se larta ho ga
    ”Acha tha jo saath hi rehtey”
    baad mein uss ne socha hoga
    apne dil ki saari baatein
    khud se khud hi kehta hoga

    ReplyDelete
  198. jab se is zindagi se pyaar naheen
    dil meiN pehla sa voh Khumaar naheen

    Gham to laakhon hain daaman-e-dil mein
    bus Kushi hai jo paaedaar naheen

    jo na vaaqif ho hijr k Gham se
    voh jahaan mein vafaa-shi’aar naheen

    “dushmani dushmanon se kyaa karte?”
    doston kaa jab eitbaar naheen !

    jazb-e-dil pe ikhtiyaar kahaan ?
    jab khud dil pe ikhtiyaar naheeN

    jis chaman mein hai aashiyaan apnaa
    us chaman mein hi kyoN bahaar naheen ?

    hai mohabbat agar gunaah to ho
    hum magar is se sharmsaar naheen !!

    ‘ishq baazi hai ehl-e-himmat kee
    buzdilon kaa yeh kaarobaar naheen

    ReplyDelete
  199. Nighaon K Tasadum Se ajab Taqrar Karti Hai,
    Yaqeen Kamil Nahi Laikin Guman Hai Pyaar Karti Hai,

    Laraz Jata Hun Main Yeh Soch K Kafir Na Hojaon,
    Tabiyaat Uski Pooja K Liye Israar Karti Hai,

    Usay Maloom Hai Shayad Mera Dil Hai Nshanay Par,
    Labon Se Kuch Nahi Kehti, Nazar Se Waar Karti Hai,

    Main Usay Puchta Hun Khuwab Mein Mujhse Muhabbat Hai…??
    Phir Ankhein Khol Deta Hoon Jab Woh Izhar Karti Hai….!!!

    ReplyDelete
  200. Shaam-E-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
    Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

    Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain
    Tu Pareshaa’n Rahay, Hum Nahi Chahtay

    Aaj Ansoo Bahaanay Say Mat Rokiye
    Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay

    Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain
    Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay

    Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
    Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay

    Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
    Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

    Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar
    Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay

    ReplyDelete